Wednesday, September 30, 2015

Zindagi Ko Khulke Jio




Kuchh Bhav Tere Dekh Kar,
Main Tere Pass Aaya,
Jo Puchha Tujhse Kaaran?
Main Anayas Hi Muskaya…

Teri Pareshani Par Nahi,
Teri Soch Ne Mujhe Hasaya,
Kyonki Bhavishya Ki Chinta Ne,
Tera Chehra Murjhaya…

Tu Vilaap Kar Raha Tha,
Tere Bachhe Tujh Se Dur,
Videsh Main Basne Ja Rahe They,
Aur Tujhe Tanha Chodde, Ja Rahe They…

Tujhe Chinta Thi Iss Baat Ki,
Yadi Tu Akela Bimaar Pada,
Toh Kaun Dhyan Rakhega Tera?
Iss Baat Ka Malal Tha…

Arrey Tu Toh Duniya Main,
Akela Hi Aaya Tha, Bhul Gaya?
Aur Akele Hi Tere Mata Pita Gaye,
Kya Unhe Bhi Tu Bhul Gaya…

Kyon Sata Rahi Hain Chinta?
Zindagi Ko Khulke Jio,
Jaisa Tu Chahega, Vaisa Tu Payega,
Mann Main Yehi Vishwas Pal,
Aur Zindagin Main Tu Reh Khushhaal…
Aur Zindagin Main Tu Reh Khushhaal…

By – Surya Prakash Arya “Uttarakhandi”

(This Hindi Poem of mine is all about, how we take life. If we have positive frame of mind with us, life seems easy and if we fed it up with negative thoughts, then life becomes hell. This Hindi Poem is telling us to tread in the right path).

No comments:

Post a Comment