Saturday, September 19, 2015

Mera Kya Kasoor Tha?




Main Toh Sirf Teen Varsh Ka,
Ek Nanha Munna Balak Tha,
Bhai Aur Behno Ka Pyara,
Maa Baap Ka Raj Dulara Tha…

Maine Duniya Abhi Dekhi Nahi Thi,
Kyonki Meri Duniya Toh, Meri Maa Ke,
Anchal Main Simati Thi…

Pyar Bahut Karti Thi Maa,
Main Toh Unse, Hi Lipta Rehta,
Aur Roz Lori, Sunkar Hi Sota…

Papa Mujhse Khoob Khelte,
Aur Khel Khel Main Hi Mujhe,
Duniya Sikhane Ki Koshish Karte…

Behno Ka, Toh Hero Tha,
Kyonki Papa Se Unke Kam Karwane Ko,
Main Hi Asaan Sa, Ek Zariya Tha…

Bhaiyon Main Bhi, Main Raja Tha,
Kyonki Maa Ka Mujh Ko, Jo Sahara Tha,
Aur Issi Wajah Se Main Raj Dulara Tha…

Main Nahi Janta, Mere Ghar Ke Baahar,
Kyon Goliyon Ki Awaaz Aati Thi,
Aur Bam Ki Awaaz Se, Meri Neend Tuth Jati…

Wahan Shairan Bajta, Yahan Baghdah Machti,
Ghar Ke Kinare Gadhho Main Chupkar,
Mere Parivar Ki Aksar Jaan Bachti…

Ek Din Maa Khoob Ro Rahi Thi,
Jab Ghar Ki Udhi Chatt Ko Dekh Kar,
Fafak Fafak Kar Ro Rahi Thi…

Uss Din Na Mujhe Khana Mila,
Aur Na Hi Papa Ne Mujhe, Pyar Se Chuma,
Aur Hum Nikal Padhe Ek Anjaan Safar Par…

Dagamag Si Hoti Naav,
Achanak Hi Palat Gayi, Aur Leel Li Usney,
Na Jaane Kitno Ki Jaan…

Mera Kya Kasoor Tha?
Kya Batayega Koi, Kyon Mere Haathon Se,
Reth Ke Jaise, Phisal Gayi Zindagi…
Mera Kya Kasoor Tha?
Kya Batayega Koi, Kyon Mere Haathon Se,
Reth Ke Jaise, Phisal Gayi Zindagi…

By – Surya Prakash Arya “Surya Uttarakhandi”

(This Hindi Poem of mine is decidated to 3 year old Aylan Kurdi of Syria found dead in Turkish Sea Coast. This is such a shocking incident, which is showing the cruel face of war. I am writing this Hindi Poem in rememberance of Aylan Kurdi. RIP Aylan Kurdi and all those people killed in this horrific manmade disaster).

No comments:

Post a Comment