Wednesday, September 16, 2015

Tumhare Raaste Band Hain




Aaj Jahan Par Main Khada Hun,
Yakayak He Ek Sandesh Aaya,
Aur Sandesh Main Likha Tha,
Tumhare Raaste Band Hain…

Ye Band Isliye Hain Ki Tum,
Kaam Ko Kartavya Samjhte,
Aur Na Jane Iss Baat Par Tum,
Inta Kyon Ghamand Karte…

Kisko Samjhaun Kisko Batlaun,
Kisko Sunau Mein Apni Baat,
Mein Toh Sirf Karya Ko,
Gatayimaan Kar Raha Tha…

Kuchh Ne Pucha Ye Kya Hua,
Maine Bola Jo Hua So Hua,
Kuchh Ne Bola Awaaz Uthao,
Maine Bola Thoda Ruk Bhi Jao…

Gar Aaj Raaste Band Huey Hain,
Kal Naye Raaste Bhi Khulenge,
Kab Thak Thame Rakhun Atit Ko,
Bhavishya Main Mein Bhi Badhun…

Tumhare Raaste Band Hain,
Band Hain To Rahne Do,
Mujhe  Naya Raasta Dikha Hain,
Aur Uss Raaste Par Main Chal Padha Hun…
Aur Uss Raaste Par Main Chal Padha Hun…

By-Surya Prakash Arya

(This Hindi Poem tells about the feeling of being humiliated in life at certain point in time. But the positivity of this Hindi Poem, tells us that you have move forward, no matter how many obstacles you face life).

No comments:

Post a Comment