Tuesday, December 31, 2013

Savera…

Chidhiyon Ki Chachaahat Se,
Neend Khuli Thi Meri,
Pardo Se Chann Chann Kar,
Dhoop Khili Thi Kam Kam…

Parde Ko Kinare Kar,
Jaise Hi Dekha Baahar,
Swarnim Akash Mein,
Suraj Ki Lalima Thi Chanchal…

Pakshki Akash Mein,
Ghote Aise Laga Rahe The,
Mano Wahi Iss Sunhere,
Savere Ke Samraath/Darshak The…

Jaise Hi Dhoop Ne,
Mujhe Kuchh Chua,
Barbas Sa Ek Anmol,
Ehsas Mujhe Kuchh Hua…

Bahoan Ko Faila,
Chaatti Ko Chauda Kar,
Shudh Hawa Ko Maine,
Apne Ander Mehsus Kiya…

Khidki Ke Ander Aati,
Dhoop Mein Dhul Ke Kadn,
Jhilmil Se Chamak Rahe The,
Apne Hone Ka Ehsas Kara Rahe The…

Ek Adbhut Si Sukoon Deti Hain,
Savere Ki Gunguni Dhoop,
Navchetna Ka Ehsas Sa Deti,
Savere Ki Manbhavani Doop…

Savere Ki Roshni Se,
Mann Pulkit Sa Ho Jata,
Dheere Dheere Hi Sahi,
Tann Mann Srajit Ho Jaata…

Surya Prakash Arya
sparya_in@yahoo.com

(This Hindi Poem is dedicated to topic of ‘Savera’ means ‘Morning’, which tells us how blissful is the morning for all of us).

Saturday, December 28, 2013

AAP…

Har Taraf Bas Aap Hi Aap,
Jalwafarosh Se Ho Gaye Hain,
Jis Taraf Bhi Nazar Pheinkein Toh,
Aap Mashur Bas Ho Gaye Hain …

Aap Ka Kehana Hi Kya Hain,
Awaaz Mein Jo Ek Shor Hain,
Sahme Huye Dil Ko Bhi Bas,
Aap Ka Hi Thaur Hain…

Aap Ki Muskaan Bhi Toh,
Kya Gazab Si Daati Hain,
Achhe Achhaon Ki Bas,
Aukaat Pata Si Chal Jati Hain…

Aap Ki Ankhaon Ki Bhi,
Badi Hain Chancal Putliyan,
Jo Dekhti Kahin Aur Hi Hain,
Aur Nishana Kahin Aur Lagati…

Aap Ki Chal Ke Bhi Kya Kehne,
Achhe Achhe Kayal Ho Jate,
Shurveer Toh Bas Aaise He,
Dum Bhar Ke Bas Chup Ho Jaate …

Aap Ke Vayade, Kyon Aap Hi Hain Jaante,
Aap Ke Paimaane, Kyon Aap Hi Hain Bandhte,
Aap Keval Aap Mein Hi, Na Ulajh Ke Reh Jana,
Zamane Bhar Ka Hisaab Bhi Toh, Aap He Ne Jo Rakhna…

Yeh Badlav Ka Samay Hain,
Tabhi Toh Keval Aap Ka Hi Jikr Hain,
Shor Sharabe Ki Tang Galiyon Mein,
Aap Ka Bas Aap Ka He Sukr Hain…

Surya Prakash Arya
sparya_in@yahoo.com

(This Hindi Poem is dedicated to famous word of “AAP”, getting lots of curiosity and importance these days. But, I am focusing on the other perspective of “AAP” as a poet).

Sunday, December 22, 2013

Pathbrashta…


 Raaste Toh Kudh Hi Talasho,
Dayein Bayein Tumhi Talasho,
Mat Daro Tum Inn Tedhe Raston Se,
Aur Dhul Mein Sante Apne Pairon Se…

Path Par Agar Bhatak Jao Tum,
Har Disha Par Drishti Duadhna,
Aur Jo Path Tumhe Samaj Aaye Toh,
Uss Par Agey Bus Badte Jana…

Ho Sakta Hain Kuchh Mushkil Aaye,
Jab Saans Tumhari Kuchh Phul Jaye,
Do Pal Zara Tum Saans Lena,
Phir Chal Dena Aur Aage Badana…

Kuchh Kuntehit Logon Ka Yadi Saath Mile Toh,
Jo Bramith Kar De Tumko Agar Toh,
Ek Lambi Si Tum Saans Lena,
Par Pathbrashta Bus Nahin Hona Tum…

Jeevan Mein Kai Padhav Aayenge,
Kuchh Khatte Kuchh Meethe Ehsaas Denge,
Khatton Se Tum Vichalit Mat Hona,
Meethon Se Pathbrashta Mat Hona…

Aur Gar Ho Gaye Tum Pathbrashta,
Aur Phansh Gaye Galatfahmi Mein Tum,
Uss Samay Na Ho Mehsus Gar Yadi Tumhe,
Toh Phir Kya Hoga Aage Tumhe Kabool…

Haan Maan Lena Pathbrashta Ho Gaya Tha,
Jo Saza Milegi Ussey Bhugat Lena,
Pachchtap Ka Mauka Yadi Mile Toh,
Haans Kar Ussey Bhi Seh Lena…

Par Mat Ghabrana Galtiyon Se,
Yehi Toh Deti Hain Anubhav,
Paristhithiyan Hi Sikhati Hain Sab,
Toh Pathbrashta Kyon Hone Ka Dhar?
Toh Pathbrashta Kyon Hone Ka Dhar?


Surya Prakash Arya
sparya_in@yahoo.com

(This Hindi Poem is dedicated to those people, who while living life gets lost in the maze of its turns and twist. Even however, one loses his path, he has to face its consequences, but then ultimately has to move forward)

Saach…



Kya Hain Saach ,
Ye Sochta Main,
Ankhon Ko Band,
Kuchh Sochta Main…

Paribhashit Karna,
Hain Kathin Nahin,
Par Saach Batlana,
Hain Asaan Nahin…

Kehte Hain,
Saach Katu Hota Hain ,
Jisko Sunna,
Bada Muskil Hota Hain…

Jeevan Mein Kai,
Modh Hain Aate,
Toh Kabhi Unche Udd Jate,
Toh Kabhi Dharti Pe Ghir Jate…

Kaam Umr Ke,
Ladhakpan Mein,
Hum Sharma Ke,
Inhe Chupate…

Kuchh Yahin Se,
Dincharyaa Aarambh Hoti,
Jo Prashtra Kar Deti,
Marg Jooth Ke …

Jooth Ke Tano Bano Mein,
Ek Ajeeb Sa Ulhaas Aata,
Aur Jooth Ko Hi Saach Maan Kar,
Zindagi Mein Anand Aata…

Yeh Swapn Toothta Hain Tab,
Lagti Hain Thokar Badi Jab,
Aur Jooth Ka Phulinda Tab,
Kar Deta Hain Satyanaash Jab…

Kuchh Wahin Se Ladhakpan Bhi,
Ek Maryadit Sa Ho Kar,
Bona Bana Deta Hain,
Joothi Shaksiyat…
Bus Wahi Se Ek Yatra,
Aarambh Hoti Hain,
Jahan Sach Ka Bolbala Hota Hain,
Aur Joothe Ka Muhh Kala Hota Hain…

Yeh Matr Ek Kalpana Nahi Hain,
Na Hi Yeh Ek Santavana Hain,
Yeh Toh Ek Matr Satya Hain,
Ki Saach Saach Sarvmanya Hain…


Surya Prakash Arya

(This Hindi Poem is dedicated to ‘Saach’ mean ‘Truth’, which is easy to explain but difficult to follow)