Sunday, December 22, 2013

Pathbrashta…


 Raaste Toh Kudh Hi Talasho,
Dayein Bayein Tumhi Talasho,
Mat Daro Tum Inn Tedhe Raston Se,
Aur Dhul Mein Sante Apne Pairon Se…

Path Par Agar Bhatak Jao Tum,
Har Disha Par Drishti Duadhna,
Aur Jo Path Tumhe Samaj Aaye Toh,
Uss Par Agey Bus Badte Jana…

Ho Sakta Hain Kuchh Mushkil Aaye,
Jab Saans Tumhari Kuchh Phul Jaye,
Do Pal Zara Tum Saans Lena,
Phir Chal Dena Aur Aage Badana…

Kuchh Kuntehit Logon Ka Yadi Saath Mile Toh,
Jo Bramith Kar De Tumko Agar Toh,
Ek Lambi Si Tum Saans Lena,
Par Pathbrashta Bus Nahin Hona Tum…

Jeevan Mein Kai Padhav Aayenge,
Kuchh Khatte Kuchh Meethe Ehsaas Denge,
Khatton Se Tum Vichalit Mat Hona,
Meethon Se Pathbrashta Mat Hona…

Aur Gar Ho Gaye Tum Pathbrashta,
Aur Phansh Gaye Galatfahmi Mein Tum,
Uss Samay Na Ho Mehsus Gar Yadi Tumhe,
Toh Phir Kya Hoga Aage Tumhe Kabool…

Haan Maan Lena Pathbrashta Ho Gaya Tha,
Jo Saza Milegi Ussey Bhugat Lena,
Pachchtap Ka Mauka Yadi Mile Toh,
Haans Kar Ussey Bhi Seh Lena…

Par Mat Ghabrana Galtiyon Se,
Yehi Toh Deti Hain Anubhav,
Paristhithiyan Hi Sikhati Hain Sab,
Toh Pathbrashta Kyon Hone Ka Dhar?
Toh Pathbrashta Kyon Hone Ka Dhar?


Surya Prakash Arya
sparya_in@yahoo.com

(This Hindi Poem is dedicated to those people, who while living life gets lost in the maze of its turns and twist. Even however, one loses his path, he has to face its consequences, but then ultimately has to move forward)

No comments:

Post a Comment