Friday, February 26, 2016

Gandhi Tere Desh Main…




Gandhi Tere Desh Main,
Ye Kaisa Shor Sharaba?
Jisko Bhi Yahan Dekho,
Sirf Apni Baat Chalata…

Iss Chalne Chalane Ke Chakkar Main,
Na Jane Kya Kya Kar Jata,
Haath Main Danda, Dil Main Bair,
Apno Ka Hi, Dil Main Jalata…

Kyonki Andar Mere Ek Aag Thi,
Wo Aag Aaj, Baahar Nikal Kar,
Apno Ko Hi Jala Rahi Hain,
Aur Deewar, Ek Bana Rahi…

Shayad Saalon Lage, Iss Deewar Ko,
Phir Se Humein Todhne Ko,
Lekin Galti Apni, Jo Maan Lo Tum,
Toh Shayad Mujhe Tasaalli Mile…

Gandhi Tere Desh Main,
Ye Kaisa Shor Sharaba?
Jisko Bhi Yahan Dekho,
Sirf Apni Baat Chalata…

By – Surya Prakash Arya “Uttarakhandi”

(This Hindi Poem of mine is touching my inner feeling for the recent “Jaat Agitation” in Haryana, India. This Hindi Poem is talking about India, inner strength of its people and its basic nature).

Kehna To Bahut Chahta Hun




Kehna To Bahut Chahta Hun, Par Chup Hun,
Ye Kamzori Nahin Meri, Kyonki Main Chup Hun,
Dekhna, Jis Din Bhi Main Bola, Tum Shant Ho Jaoge,
Aur Mere Bhavo Main Beh Kar,
Tum Sirf Aur Sirf Mere Ho Jaoge…

Itna Sunte Hi, Tumhare Dil Main, Khayal Aayega,
Jab Baat Sirf, Apna Hi Banane Ki Hain,
Toh Phir Tumhari Baat, Kyon Akeli Khadi,
Na Samjho Khud Ko Tanha Tum,
Tumhari Khamoshi Mujhe Bechainn Kare Hain…

Main Todha Hasa, Phir Tum Se Bola,
Kyonki Baat Mere Dil Ki Hain, Aur Iss Dil Main,
Todhi Hasi, Todhi Khushi, Todha Gussa, Aur Thodi Kadhwahat Hain,
Toh Agar, Tum Ye Sabh, Sun Samajh Sakte Ho,
Tabhi Tum Mujhe, Apna Samajh Sakte Ho…
Tabhi Tum Mujhe, Apna Samajh Sakte Ho…

Kehna To Bahut Chahta Hun, Par Chup Hun,
Ye Kamzori Nahin Meri, Kyonki Main Chup Hun,
Dekhna, Jis Din Bhi Main Bola, Tum Shant Ho Jaoge,
Aur Mere Bhavo Main Beh Kar,
Tum Sirf Aur Sirf Mere Ho Jaoge…
Tum Sirf Aur Sirf Mere Ho Jaoge…

By – Surya Prakash Arya “Uttarakhandi”

(This Hindi Poem of mine is telling you about, how understanding and liking other matters in life. This Hindi Poem says that if you really want to be mine, than you have to understand my each and every feeling be it my smile, my hate or my ill-feelings).