Wednesday, March 30, 2011

Yeh Saali Zindagi……

Zindagi Mein Kitne Gum Hain,
Isko Hum Samaj Na Paye,
Aur Paraya Dhan Hain Kitna,
Dekh Dekh Hum Lalchaye,

Yeh Saali Zindagi, Hoti Hain Kitni Ajeeb,
Yeh Saali Zindagi, Khoti Hain Kitne Ajeez……

Na Sochna Na Samajhna,
Yeh Bhi Hain Kya Baat,
Bol Bol Kar Chup Ho Jana,
Aur Raat Ko Neend Na Aana,

Yeh Saali Zindagi, Hoti Hain Kitni Ajeeb,
Yeh Saali Zindagi, Khoti Hain Kitne Ajeez……

Mand Mand Muskana Uska,
Cchand Cchand Mein Batyana,
Matya Mal Kar Dena Sabhka,
Baaton Mein Baaton Ko Dabana,

Yeh Saali Zindagi, Hoti Hain Kitni Ajeeb,
Yeh Saali Zindagi, Khoti Hain Kitne Ajeez……

Hathon Mein Lekar Hath Wo,
Jab Chal Deti Hain Saath Wo,
Pakdandi Par Bhi Phisal Jata Hain,
Mera Aksar Paair Kyon,

Yeh Saali Zindagi, Hoti Hain Kitni Ajeeb,
Yeh Saali Zindagi, Khoti Hain Kitne Ajeez……

Marm Komal Se Haath Uske,
Savale Salone Se Gaal Uske,
Jab Lahrate Hain Lambe Baal Uske,
Sambhle Na Mere Taal Dil Ke,

Yeh Saali Zindagi, Hoti Hain Kitni Ajeeb,
Yeh Saali Zindagi, Khoti Hain Kitne Ajeez……

Kar Leta Agar Mein Apne Ko,
Rokh Kar Apne Jazzbaat,
Phir Na Hota Aaj Mein Bawara,
Phir Na Khota Tum Ko Morni,

Yeh Saali Zindagi, Hoti Hain Kitni Ajeeb,
Yeh Saali Zindagi, Khoti Hain Kitne Ajeez……

Surya Prakash Arya
Check This Out: www.globomela.blogspot.com
Contact me: sparya_in@yahoo.com/91-94120-53135
Dehra Dun, Uttarakhand, India

Monday, March 28, 2011

Hansi Hansi Mein……

Hansi Hansi Mein Woh Aise Muskai,
Jaise Dahi Bhalle Abhi Abhi Kha Ke Woh Aayi……

Uff Kya Ada Se Woh Muskati Hain,
Sui Si Woh Mere Dil Mein Chubhati Hain,
Chubne Ka Dard Toh Woh Hota Hain Kaam,
Sapno Ka Dum Jaise Hota Hain Kam……

Hansi Hansi Mein Woh Aise Muskai,
Jaise Dahi Bhalle Abhi Abhi Kha Ke Woh Aayi……

Wah Wah Wah Wah Kya Baat Hain,
Jaisa Khatiya Pe Rakha Ek Rumaal Hain,
Aji Rumaal Hain Yeh Kissi Say Na Kam,
Jissey Dekh Kar Chadar Bhi Woh Sharmayi……

Hansi Hansi Mein Woh Aise Muskai,
Jaise Dahi Bhalle Abhi Abhi Kha Ke Woh Aayi……

Mana Ki Tum Tum Ho Aur Hum Hum,
Na Jana Yeh Par Ki Tum Ho Na Kissi Se Kam,
Abh Toh Bus Karte Hain Apni Hi Baataon Ka Gum,
Kabhi Shaant Bhi Reh Lete Toh Kya Ho Jata Sitam……

Hansi Hansi Mein Woh Aise Muskai,
Jaise Dahi Bhalle Abhi Abhi Kha Ke Woh Aayi……

Yeh Aaina Bhi Kitna Badsurat Hain,
Kya Yeh Sirf Mera Hi Aks Dikhata Hain,
Kya Hoti Baat Agar Iski,
Yeh Thoda Sa Noor Tera Bhi Dhikhata……

Hansi Hansi Mein Woh Aise Muskai,
Jaise Dahi Bhalle Abhi Abhi Kha Ke Woh Aayi……

Surya Prakash Arya
Check This Out: www.globomela.blogspot.com
Contact me: sparya_in@yahoo.com/91-94120-53135
Dehra Dun, Uttarakhand, India

Wednesday, March 16, 2011

Japan Ka Tsunami

Tsunami Lahron Ka Kya Hain,
Yeh Toh Pralaya Machayengi,
Toofani Sagar Ka Kya Hain,
Woh Toh Sabh Sang Dubayengi……

Ek Din Aaya Bada Jzalzala,
Dharti Ka Sabh Kuchh Lahraya,
Mera Matha Bhi Bhannaya,
Sabh Kuchh Jaise Meine Gavaya…..

Tsunami Lahron Ka Kya Hain,
Yeh Toh Pralaya Machayengi,
Toofani Sagar Ka Kya Hain,
Woh Toh Sabh Sang Dubayengi……

Iss Vishaal Tsunami Lahron Ne,
Chinn Liye Mera Ghar Baar,
Abh Na Raha Mein Ghar Ka,
Aur Raha Na Mein Bahar Ka….

Tsunami Lahron Ka Kya Hain,
Yeh Toh Pralaya Machayengi,
Toofani Sagar Ka Kya Hain,
Woh Toh Sabh Sang Dubayengi……

Kahan Gaye Mere Sabh Apne,
Ruthe Kyon Hain Sapne Mere,
Tuth Fuut Gaya Hain Sabh Kuchh,
Til Til Hokar Subh Shukhm Hokar……

Tsunami Lahron Ka Kya Hain,
Yeh Toh Pralaya Machayengi,
Toofani Sagar Ka Kya Hain,
Woh Toh Sabh Sang Dubayengi……

Khabar Suni Jaise Japan Ki,
Phir Suni Tsunami Japan Ki,
Tip Tip Karke Girne Lag Gaye,
Ankhon Se Mere Kitne Anshu……

Tsunami Lahron Ka Kya Hain,
Yeh Toh Pralaya Machayengi,
Toofani Sagar Ka Kya Hain,
Woh Toh Sabh Sang Dubayengi……

Kaisa Hain Yeh Hahakaar,
Maut Ka Hain Yeh Kaisa Sansaar,
Lashon Ke Iss Dherr Mein Na Dekhu,
Mere Tumhare Apne Na Kisike……

Tsunami Lahron Ka Kya Hain,
Yeh Toh Pralaya Machayengi,
Toofani Sagar Ka Kya Hain,
Woh Toh Sabh Sang Dubayengi……

Samay Bura Hain Tu Mat Ghabra,
Samay Ka Kya Hain Guzar Jayega,
Tu Bus Rakh Le Thoda Dharya,
Issay Tu Bhi Ubhar Jayega…….
Issay Tu Bhi Ubhar Jayega…….


Surya Prakash Arya
Check This Out: www.globomela.blogspot.com
Contact me: sparya_in@yahoo.com/91-94120-53135
Dehra Dun, Uttarakhand, India


Obituary:

Earthquake on the Richter scale 8.9 in Japan has poured my heart with these sorry and mournful feelings and I want to dedicate this poem for the People of Japan, who have lost their near and dear ones in the tragedy. The Tsunami waves, aftershocks and now nuclear disaster have only brought more pain and misery for the people of Japan. May God bless People of Japan and give them strengthen to bear this pain and loss!!!!!

Monday, March 14, 2011

Holi Hain

Holi Hain…..
Rango Ki Holi Hain…..
Apno Ki Toli Hain…..
Holi Hain…..Bhai……Holi Hain……
Bura Na Mano…..Bhai……Holi Hain……

Kahna Ne Bola Mai,
Abh Toh Basant Aayi,
Radha Toh Gori Hain Mai,
Lala Tera Kala Kyon Mai,

Mai Bhi Thoda Muskai,
Kahna Ko Gale Lagai,
Chupke Se Rango Ko Mai,
Galo Pe Kanha Ke Lagai,

Woh Jug Toh Abh Beet Gaya,
Kahna Radha Ne Mann Ko Jeet Liya,
Rango Se Rangana Seekh Liya,
Meine Holi Khelna Seekha Liya,

Holi Hain…..
Rango Ki Holi Hain…..
Apno Ki Toli Hain…..
Holi Hain…..Bhai……Holi Hain……
Bura Na Mano…..Bhai……Holi Hain……

Rango Ka Tyohar Holi,
Khushiyon Ka Tyohar Holi,
Gujiyo Sa Malamaal Holi,
Holi Hain Bhai Holi……

Holi Hain…..
Rango Ki Holi Hain…..
Apno Ki Toli Hain…..
Holi Hain…..Bhai……Holi Hain……
Bura Na Mano…..Bhai……Holi Hain……

Surya Prakash Arya
Check This Out: www.globomela.blogspot.com
Contact me: sparya_in@yahoo.com/91-94120-53135

Dev Bhoomi Uttarakhand

Yeh Uttar Jo Akhand Hain,
Yeh Bhoomi Jo Ek Khand Hain,
Yeh Devo Ka Hi Khand Hain,
Yeh Dev Bhoomi Uttarakhand Hain,

Yeh Dharti Hain Pahadon Ki,
Kailash Aur Himalaya Ki,
Basa Liya Hain Godh Mein Jisne,
Mere Apne Jane Kitne…..

Yeh Uttar Jo Akhand Hain,
Yeh Bhoomi Jo Ek Khand Hain,
Yeh Devo Ka Hi Khand Hain,
Yeh Dev Bhoomi Uttarakhand Hain,

Yahan Ganga Behti Yamuna Behti,
Kal Kal Karti Pal Pal Behti,
Paawan Hain Yeh Maa Ke Jaisi,
Patito Ko Bhi Yeh Mukt Karti…..

Yeh Uttar Jo Akhand Hain,
Yeh Bhoomi Jo Ek Khand Hain,
Yeh Devo Ka Hi Khand Hain,
Yeh Dev Bhoomi Uttarakhand Hain,

Yahan Nadiyan Bhi Hain Gadhyaron Bhi,
Jo Shant Bhi Hain Aur Prachand Bhi,
Chota Na Kehna Inn Ko Tum,
Tum Se Bada Hain Na Koi Nasamajh…..

Yeh Uttar Jo Akhand Hain,
Yeh Bhoomi Jo Ek Khand Hain,
Yeh Devo Ka Hi Khand Hain,
Yeh Dev Bhoomi Uttarakhand Hain,

Yahan Pakshi Bhi Hain Bhanti Bhanti Ke,
Yahan Pashu Bhi Hain Har Maati Ke,
Yeh Toh Tumhare He Hain Apne,
Dekh Bujh Bhi To Tu Inko……

Yeh Uttar Jo Akhand Hain,
Yeh Bhoomi Jo Ek Khand Hain,
Yeh Devo Ka Hi Khand Hain,
Yeh Dev Bhoomi Uttarakhand Hain,

Surya Prakash Arya
Check This Out: www.globomela.blogspot.com
Contact me: sparya_in@yahoo.com/91-94120-53135

Wednesday, March 9, 2011

Raat Hone Ko Hain…..

Raat Hone Ko Hain, Baat Khone Ko Hain,
Dil Mein Yeh Jazbaat, Pal Hi Pal Mein,
Badalne Ko Hain….

Shyam Jaise Hi Dhalti Hain,
Ufaan Kya Yeh Karti Hain,
Ufaano Ke Toofano Mein,
Jhankjor Ke Yeh Rakhti Hain…..

Raat Hone Ko Hain, Baat Khone Ko Hain,
Dil Mein Yeh Jazbaat, Pal Hi Pal Mein,
Badalne Ko Hain….

Raat Ka Yeh Saya Kaisa Hain,
Deewano Ki Maya Sa Hain,
Deewane Toh Deewane Hain,
Tu Bhi Toh Mera Jaisa Hain…..

Raat Hone Ko Hain, Baat Khone Ko Hain,
Dil Mein Yeh Jazbaat, Pal Hi Pal Mein,
Badalne Ko Hain….

Sarsarahat Si Har Pal Hoti Hain,
Kyon Raat Mein Hi Tu Soti Hain,
Kyon Kya Kaise Aur Kab,
Mein Raat Khoti Hoti Hain…..

Raat Hone Ko Hain, Baat Khone Ko Hain,
Dil Mein Yeh Jazbaat, Pal Hi Pal Mein,
Badalne Ko Hain….

Surya Prakash Arya
Check This Out: www.globomela.blogspot.com
Contact me: sparya_in@yahoo.com/91-94120-53135