Monday, March 28, 2011

Hansi Hansi Mein……

Hansi Hansi Mein Woh Aise Muskai,
Jaise Dahi Bhalle Abhi Abhi Kha Ke Woh Aayi……

Uff Kya Ada Se Woh Muskati Hain,
Sui Si Woh Mere Dil Mein Chubhati Hain,
Chubne Ka Dard Toh Woh Hota Hain Kaam,
Sapno Ka Dum Jaise Hota Hain Kam……

Hansi Hansi Mein Woh Aise Muskai,
Jaise Dahi Bhalle Abhi Abhi Kha Ke Woh Aayi……

Wah Wah Wah Wah Kya Baat Hain,
Jaisa Khatiya Pe Rakha Ek Rumaal Hain,
Aji Rumaal Hain Yeh Kissi Say Na Kam,
Jissey Dekh Kar Chadar Bhi Woh Sharmayi……

Hansi Hansi Mein Woh Aise Muskai,
Jaise Dahi Bhalle Abhi Abhi Kha Ke Woh Aayi……

Mana Ki Tum Tum Ho Aur Hum Hum,
Na Jana Yeh Par Ki Tum Ho Na Kissi Se Kam,
Abh Toh Bus Karte Hain Apni Hi Baataon Ka Gum,
Kabhi Shaant Bhi Reh Lete Toh Kya Ho Jata Sitam……

Hansi Hansi Mein Woh Aise Muskai,
Jaise Dahi Bhalle Abhi Abhi Kha Ke Woh Aayi……

Yeh Aaina Bhi Kitna Badsurat Hain,
Kya Yeh Sirf Mera Hi Aks Dikhata Hain,
Kya Hoti Baat Agar Iski,
Yeh Thoda Sa Noor Tera Bhi Dhikhata……

Hansi Hansi Mein Woh Aise Muskai,
Jaise Dahi Bhalle Abhi Abhi Kha Ke Woh Aayi……

Surya Prakash Arya
Check This Out: www.globomela.blogspot.com
Contact me: sparya_in@yahoo.com/91-94120-53135
Dehra Dun, Uttarakhand, India

No comments:

Post a Comment