Saturday, December 26, 2015

Kya Hua Hindostan - By Surya Prakash Arya

Friday, December 25, 2015

Kya Hua Hindostan


Kya Hua Hindostan, Ye Tujhe Kya Hua?
Kyon Tu Apni Syahi Se, Iss Kadar Badnaam Hua,
Teri Ye Ujul Fujul Harkatein, Teri Ye Napaak Koshishan,
Sirf Aur Sirf Tujhe, Ruswa Kar Rahi Hain,
Aur Tere Saaf Anchal Ko, Badnuma Kar Rahi Hain…


Kyon Bhul Raha Hain, Ki Tu Toh Vishal Hridayi Hain,
Aur Tere Bujang Bajuao Main Hi, Ekta Khadi Hain,
Kya Kya Tune Nahi Dekha Hain, Aur Saha Hain,
Par Aaj Kyon Tu Adhir Sa, Hairan Khada Hain,
Na Hone De Tu Durr, Iss Preme Adab Ko,
Tere Vishwas Pe Hi To, Loktantra Yahan Khada Hain…

Vividhta, Rang, Dharm, Karm, Bhasha, Sanskriti,
Yeh Sabh Tere Hi Rang Hain, Jise Dekh Log Dang Hain,
Yeh Sabh Logon Ki Soch, Se Pare Hain Hindostan,
Kya Nahin Dikh Raha Hain, Logon Ka Palayan,
Yuddh Mein Jirn Shirn Hote, Naye Purane Rashtron Ka Patan,
Main Nahin Chahta, Har Chotti Baat Par Shor Sharaba…

Matr Chunaav Jitne Ke Liye, Na Banto Samajh Ko,
Tum Kya Sochte Ho, Kya Nahin Dikh Raha Hain Mujhe,
Dhruvikaran Ka Khel, Aur Shanti Rakhne Ka Bhed,
Lekin Jo Mukh Se Bol Rahe Ho, Ussey Mann Se Bhi Karo,
Aur Yeh Main Tumhi Se Nahin, Sabh Se Keh Raha Hun,
Dekhna, Khel Khelte Khelte Kahin Derr Na Ho Jaye!
Dekhna, Khel Khelte Khelte Kahin Derr Na Ho Jaye!

Kya Hua Hindostan, Ye Tujhe Kya Hua?
Kyon Tu Apni Syahi Se, Iss Kadar Badnaam Hua,
Teri Ye Ujul Fujul Harkatein, Teri Ye Napaak Koshishan,
Sirf Aur Sirf Tujhe, Ruswa Kar Rahi Hain,
Aur Tere Saaf Anchal Ko, Badnuma Kar Rahi Hain…

By-Surya Prakash Arya

(This Hindi Poem describes the inner thought roams around in my mind about the recent state of affair in Indian Political System. This Hindi Poem speaks a lot about things happening in India these days. It is just a thought, but honestly I am looking forward to peace and brotherhood amongst people of this great democracy).

Monday, November 30, 2015

Pati Patni




Pyara Hain Rishta, Ye Mera Tumhara,
Pati Patni Ka Rishta, Ye Mera Tumhara…

Saat Janmo Ki Khake Kasam,
Main Bana Hun Tera, Aur Tu Bani Meri,
Na Tute Ye Rishta, Ye Janmo Ka Rishta,
Pyara Hain Rishta, Ye Mera Tumhara,
Pati Patni Ka Rishta, Ye Mera Tumhara…

Pyar To Main, Sirf Karta Hu Tum Se,
Jo Na Ho Aitbhar Toh, Tum Puchh Lo Sabh Se,
Sach Kahunga, Main Keval Sach Kahunga,
Pyara Hain Rishta, Ye Mera Tumhara,
Pati Patni Ka Rishta, Ye Mera Tumhara…

Parakhna Jo Chaho, Jab Bhi Parakh Lo,
Band Dil Main Kar Kar, Humne Bus Main Karlo,
Ankhon Par Yakin Mat Kar, Thodi Baat To Sun Lo, 
Pyara Hain Rishta, Ye Mera Tumhara,
Pati Patni Ka Rishta, Ye Mera Tumhara…

Pyara Hain Rishta, Ye Mera Tumhara,
Pati Patni Ka Rishta, Ye Mera Tumhara…

By-Surya Prakash Arya “Surya Uttarakhandi”

(This Hindi Poem is describing about the relationship in a husband and wife. In this Hindi Poem, I am emphasing the important of trust and patience in onces life for maintaining the real meaning of this pious relation).

Sunday, October 18, 2015

Gita Ka Updesh




Ek Vakya Se Nikla Vakayya,
Jiski Na Thi Saral Vyakhaya,
Jo Samajh Gaya Uss Vakya Ki, Vyakhaya,
Toh Samajh Lo, Aa Gayi Uske Jeevan Main Aradhya…

Jab Vakya Hain, To Uske Arth Bhi Honge,
Ek Nahi, Anek Honge,
Nirbhar Yeh Tum Par Karta,
Kya Dhundte Tum Arth Uska…

Kai Bhar Tumhari Manoshithi Par,
Toh Kai Baar Tumhari Upssthithi Par,
Aur Arth Baithete Bilkul Sateek,
Chahe Sthithi, Kyon Bhi Na Ho Vipreet…

Par Samajh Re, O Bandhu,
Saafh Aur Spastha Ye Sandesh,
Ki Tu Karm Pe De, Thoda Dhyan,
Aur Ho Jeyega Tera, Beda Ampram Paar…

Phir Bhi Yadi Tu, Prashn Karna Chahe,
Toh Kar Na, Kar Apne Se, Kaun Rokta Hain?
Uttar Milega Zurur, Ki Yeh Karm Hain Ya Akarm,
Aur Phir, Faisle Ki Seedhni Par Chadna Hi, Hoga Tera Karm…

Duniya Ki Na Nukur, Toh Lagi Hi Rahegi Hamesha,
Vifalta Ya Safalta Ki Soch, Bhi Swatah Hi Ubhrengi Ander Teri,
Ho Sakta Hain, Tareef Ke Bhanwar Main Tu Phans Jaye,
Ya Ho Sakta Hain, Burai Ke Dher Main Tu Dab Jaye,
Par Yaad Rakhna, Baat Suni, Nisuni Na Ho Jaye…
Par Yaad Rakhna, Baat Suni, Nisuni Na Ho Jaye…

Yeh Gita Ka Ek Updesh Hain!!!

By – Surya Prakash Arya

(This Hindi Poem of mine is telling about a message from Bhagwat Gita. This Hindi Poem tells us that you should go with your conscience decision. Because when you speak to your conscience, it would always give you a right decision. And it is upto you to listen to it and act upon it). 

Wednesday, September 30, 2015

Zindagi Ko Khulke Jio




Kuchh Bhav Tere Dekh Kar,
Main Tere Pass Aaya,
Jo Puchha Tujhse Kaaran?
Main Anayas Hi Muskaya…

Teri Pareshani Par Nahi,
Teri Soch Ne Mujhe Hasaya,
Kyonki Bhavishya Ki Chinta Ne,
Tera Chehra Murjhaya…

Tu Vilaap Kar Raha Tha,
Tere Bachhe Tujh Se Dur,
Videsh Main Basne Ja Rahe They,
Aur Tujhe Tanha Chodde, Ja Rahe They…

Tujhe Chinta Thi Iss Baat Ki,
Yadi Tu Akela Bimaar Pada,
Toh Kaun Dhyan Rakhega Tera?
Iss Baat Ka Malal Tha…

Arrey Tu Toh Duniya Main,
Akela Hi Aaya Tha, Bhul Gaya?
Aur Akele Hi Tere Mata Pita Gaye,
Kya Unhe Bhi Tu Bhul Gaya…

Kyon Sata Rahi Hain Chinta?
Zindagi Ko Khulke Jio,
Jaisa Tu Chahega, Vaisa Tu Payega,
Mann Main Yehi Vishwas Pal,
Aur Zindagin Main Tu Reh Khushhaal…
Aur Zindagin Main Tu Reh Khushhaal…

By – Surya Prakash Arya “Uttarakhandi”

(This Hindi Poem of mine is all about, how we take life. If we have positive frame of mind with us, life seems easy and if we fed it up with negative thoughts, then life becomes hell. This Hindi Poem is telling us to tread in the right path).

Saturday, September 26, 2015

Aao Mil Banth Kar Khayein




Jitna Zyada Ho Sake, Hum Kamayein,
Aur Bacha Hua Thoda, Tumhe Paunchey…

Ji Haan Baat Kar Raha Hun,
Bhrashtachar Ki, Aur Ek Hi Khandan Ke Na Hote Huey Bhi,
Katarbadhh Huey Purey Santh-Ganth Ki…

Manzar Dekha Hain Kabhi? Meat Ki Dukhan Ke Aagey?
Kyon Lete Padhe Rehte Hain Kutte, Chup-Chap Lash Se,
Santvana Rehti Hain, Shyam Ko Milenge Kuchh Chichade…

Ji Haan, Chichadhon Ka Hi Toh Khel Hain,
Kyonki, Dukaan Ka Maalik, Bada Hi Tez Hain,
Woh Janta Hain, Kaise Rakhna Hain Kutto Ko Shant…

Theek Vaise Hi Bada Brashtachari Bhi,
Katar Main Khade Apne Hi Saathiyon Ko,
Jab Deta Hain Malai Ki Chauthayi, Toh Khamosh Ho Jati Hain Unki Ruayi…

Aao Mil Banth Kar Khayein,
Jitna Zyada Ho Sake, Hum Kamayein,
Aur Bacha Hua Thoda, Tumhe Paunchey…

By – Surya Prakash Arya “Uttarakhandi”

(This Hindi Poem is telling us about the corruption prevailing around us. An analogy is being created in this Hindi Poem, which I hope you would like. This is just an observation and nothing else).

Thursday, September 24, 2015

Pal Pal Badalti Tumhari Baat




Pal Pal Badalti Tumhari Baat,
Nahi Samajh Mujhe Aa Rahi,
Kitna Jatan Main Kar Raha Hun,
Nahi Baat Mujhe Samajh Aa Rahi…

Pehle Bhi Keval Tumhari Hi Baat Thi,
Aur Tum Jis Par Bhi Haath Rakh Do,
Mano Uski Duniya Apram Paar Thi,
Kyon Bhai? Kyonki Tum Bade They…

Apno Ko Paraya Karne Ki Tumhe Aadat Thi,
Kyonki Parayon Ko Apna Karne Ki, Tumhe Aadat Thi,
Mann Maar Kar Hum Sabh Sah Jaate They,
Aur Dabi Zuban Se Maa Ko Hum Batate They…

Haat Toh Tumhara Hi Sabko Pyara Lagta Tha,
Aur Pagalpan Sa Hamara Haat Maa Ko Lagta Tha,
Yehi Wajah Thi Ki Tumhari Pharrmaiishe Sasti Thi,
Aur Toffee Ki Hamari Icchayen Fizhulkarchi Thi…

Aaj Bhi Sabh Paakar Tum Phatehaal Ho,
Aur Thoda Hi Paakar Hum, Khushhaal Hain,
Kyonki Tumne Rakha Har Bar Rishton Ko, Taak Par,
Aur Humne Rakha Har Bar Risthon Ko, Sar-Ankhono Par…

Pal Pal Badalti Tumhari Baat,
Nahi Samajh Mujhe Aa Rahi,
Kitna Jatan Main Kar Raha Hun,
Nahi Baat Mujhe Samajh Aa Rahi…

By – Surya Prakash Arya “Uttarakhandi”

(This Hindi Poem is written by me. This Hindi poems tell about, how life changes is course in some point in time. We need to understand that and take appropriate action to deal with it).

Ganesh Chaturthi




Tumhi Ho Aradhya, Tumhi Ho Paalanhaar,
Tumhi Vighn Harte, Pratham Tumhe, Hum Pujte…


Thaal Main Sajhe Laddu, Aur Pushp Laal,
Bhaye Jo Gajanan Ko, Wo Sindoori Aur Laal…

Tumhi Ho Gyan, Tumhi Ho Mahan,
Tumhi Se Akshar Bante, Aur Vidhi Hoti Vidhaan...

Tithi Toh Chaturthi, Hi Tumko Janchti,
Aur Purab Ki Disha, Hi Tumko Fabhti…

Pita Bhole Shambu, Aur Mata Hain Parvathi,
Bade Bhai Tumhare, Dakshin Ke Priye Kartikey…

Jitna Vishal Hain Mastak, Utni Hi Vistrit Buddhi,
Wahi Siddhi Aur Riddhi Se, Madhur Milan Karvati...

Tumhi Ho Aradhya, Tumhi Ho Paalanhaar,
Tumhi Vighn Harte, Pratham Tumhe, Hum Pujte…

By – Surya Prakash Arya “Uttarakhandi”

(This Hindi Poem is dedicated to Lord Ganesha on festival of Ganesh Chaturthi. This Hindi Poem is touching upon just few of the countless qualities & information available about Great Lord Ganesha).

Monday, September 21, 2015

Sadak Par Zindagi




Uff Badi Hi Pareshan Karne Wali Hain Sadak Par Zindagi,
Uff Badi Hi Hairaan Karne Wali Hain Sadak Par Zindagi…

Tang Sadako Main Itni Bheed Thi, Bus Bheed Thi,
Aur Tang Sadako  Main Zindagi Badi Mashgul Thi…

Tang Sadako Main Sabh Bhaag Rahe They Idhar Udhar,
Tang Sadako Main Zindagi, Zindagi Ko De Rahi Thi Umar…

Koi Chilla Raha Tha Gala Padh Kar, Toh Koi Dhakka De Raha Tha,
Koi Cycle Ki Tring Tring, Toh Koi Horn Baja Raha Tha Har Taraf…

Jaldh Baazi Main Bhi, Zindagi Ko Bhi Zindagi Ki Khabar Thi,
Jo Zindagi Sirf Apne Main Thi, Dusro Ko Bhi Uski Kadar Thi…

Phir Sadak Thodi Chaudi Huyi, Zindagi Bhi Thodi Choti Huyi,
Tejh Nikhalne Ki Hodh Main, Beparwah Si Zindagi Huyi…

Aao Dekha Na Tao, Bus Gati Ho Gayi Thi Belagaam,
Yahan Par Bhi Kuchh Shor Tha, Bus Horn Hi Horn Ka Zor Tha…

Kuchh Haath Ishara Kar Rahe They, Apna Rasta Dikhla Rahe They,
Aur Kuchh Achanak Se Break Par Pair Laga, Aage Wale Ko Dhakhel Rahe They…

Par Abh Sadak Bilkul Chaudi Aur Sapaat Ho Gayi Thi,
Aur Break Ki Jagah Accelerator Se Meri Dosti Ho Gayi Thi…

Iss Jaldbaazi Ke Pher Main, Main Phans Chuka Tha,
Aur Jaane Anjaane Hi Rat Race Ke Chakkar Main Phans Chuka Tha…

By-Surya Prakash Arya "Uttarakhandi"

(This Hindi Poem is describing about how life can be in a busy and constricted road. Through this Hindi Poem, I am also telling that how life becomes when we come in a broad and smooth).

Saturday, September 19, 2015

Mera Kya Kasoor Tha?




Main Toh Sirf Teen Varsh Ka,
Ek Nanha Munna Balak Tha,
Bhai Aur Behno Ka Pyara,
Maa Baap Ka Raj Dulara Tha…

Maine Duniya Abhi Dekhi Nahi Thi,
Kyonki Meri Duniya Toh, Meri Maa Ke,
Anchal Main Simati Thi…

Pyar Bahut Karti Thi Maa,
Main Toh Unse, Hi Lipta Rehta,
Aur Roz Lori, Sunkar Hi Sota…

Papa Mujhse Khoob Khelte,
Aur Khel Khel Main Hi Mujhe,
Duniya Sikhane Ki Koshish Karte…

Behno Ka, Toh Hero Tha,
Kyonki Papa Se Unke Kam Karwane Ko,
Main Hi Asaan Sa, Ek Zariya Tha…

Bhaiyon Main Bhi, Main Raja Tha,
Kyonki Maa Ka Mujh Ko, Jo Sahara Tha,
Aur Issi Wajah Se Main Raj Dulara Tha…

Main Nahi Janta, Mere Ghar Ke Baahar,
Kyon Goliyon Ki Awaaz Aati Thi,
Aur Bam Ki Awaaz Se, Meri Neend Tuth Jati…

Wahan Shairan Bajta, Yahan Baghdah Machti,
Ghar Ke Kinare Gadhho Main Chupkar,
Mere Parivar Ki Aksar Jaan Bachti…

Ek Din Maa Khoob Ro Rahi Thi,
Jab Ghar Ki Udhi Chatt Ko Dekh Kar,
Fafak Fafak Kar Ro Rahi Thi…

Uss Din Na Mujhe Khana Mila,
Aur Na Hi Papa Ne Mujhe, Pyar Se Chuma,
Aur Hum Nikal Padhe Ek Anjaan Safar Par…

Dagamag Si Hoti Naav,
Achanak Hi Palat Gayi, Aur Leel Li Usney,
Na Jaane Kitno Ki Jaan…

Mera Kya Kasoor Tha?
Kya Batayega Koi, Kyon Mere Haathon Se,
Reth Ke Jaise, Phisal Gayi Zindagi…
Mera Kya Kasoor Tha?
Kya Batayega Koi, Kyon Mere Haathon Se,
Reth Ke Jaise, Phisal Gayi Zindagi…

By – Surya Prakash Arya “Surya Uttarakhandi”

(This Hindi Poem of mine is decidated to 3 year old Aylan Kurdi of Syria found dead in Turkish Sea Coast. This is such a shocking incident, which is showing the cruel face of war. I am writing this Hindi Poem in rememberance of Aylan Kurdi. RIP Aylan Kurdi and all those people killed in this horrific manmade disaster).

Friday, September 18, 2015

Uljhe Huey Taar




Uljhe Huey Taar,
Unn Taaron Main,
Vidyut Ka Sanchaar…

Zindagi Nibhar,
Bijlee Par Ho Gayi,
Aur Bijlee Nibhar,
Zindagi Par…

Vidyut Ki Tarang,
Vastu Main Antrang,
Manushya Vash Iske,
Jaise Jaal Tarang…

Uljhe Huey Hum,
Uljhe Huey Tum,
Aur Uljhe Rahe Gaye,
Apne Tan-Mann…

Maatha Thanka,
Uljha Suljha Liya,
Pata Chala Suljha,
Uljha Gaya…

Socha Chup Rahun,
Pata Chala Wo Jurm Tha,
Par Jaise Hi Bhola,
Sar Kalam Tha…

Uljhe Huey Taar,
Jaise Maine Dekhe,
Bus Unhe Aur,
Thoda Uljha Diya…

By-Surya Prakash Arya "Uttarakhandi"

(This is my latest Hindi Poem, “Uljhe Huey Taar”)

Wednesday, September 16, 2015

Tumhare Raaste Band Hain




Aaj Jahan Par Main Khada Hun,
Yakayak He Ek Sandesh Aaya,
Aur Sandesh Main Likha Tha,
Tumhare Raaste Band Hain…

Ye Band Isliye Hain Ki Tum,
Kaam Ko Kartavya Samjhte,
Aur Na Jane Iss Baat Par Tum,
Inta Kyon Ghamand Karte…

Kisko Samjhaun Kisko Batlaun,
Kisko Sunau Mein Apni Baat,
Mein Toh Sirf Karya Ko,
Gatayimaan Kar Raha Tha…

Kuchh Ne Pucha Ye Kya Hua,
Maine Bola Jo Hua So Hua,
Kuchh Ne Bola Awaaz Uthao,
Maine Bola Thoda Ruk Bhi Jao…

Gar Aaj Raaste Band Huey Hain,
Kal Naye Raaste Bhi Khulenge,
Kab Thak Thame Rakhun Atit Ko,
Bhavishya Main Mein Bhi Badhun…

Tumhare Raaste Band Hain,
Band Hain To Rahne Do,
Mujhe  Naya Raasta Dikha Hain,
Aur Uss Raaste Par Main Chal Padha Hun…
Aur Uss Raaste Par Main Chal Padha Hun…

By-Surya Prakash Arya

(This Hindi Poem tells about the feeling of being humiliated in life at certain point in time. But the positivity of this Hindi Poem, tells us that you have move forward, no matter how many obstacles you face life).

Tuesday, September 15, 2015

Kursi Ke Charce




Lalchai Nazar Se Tumne Kursi Ko Dekha,
Aur Dekh Kar, Mar Mit Gaye, Tum Kursi Par…

Behayai Ki Toh Hadd Hi Ho Gayi,
Kursi Ke Chakkar Main Tum, Rakshas Ho Gaye?

Besharmi Se Kut Kut Kar Bhar Gaye Tum,
Aur Chipak Gaye Kursi Se Tum, Aur Bus Tum…

Kutil Si Muskaan Thi Tumhare Chehre Par,
Jaane Kitne Janmo Ki Badhas Thi, Tumhare Andar…

Haav Bhav Main Gazab Hi Thi Chehak Tumhari,
Dekh Kar Jisko Hans Rahi Thi Duniya Saari…

Larchargi Toh Vyakt Kar Di Thi Tumne Dikhave Ko,
Par Samaj Main Aa Rahi Thi Tumhari Choti Soch, Humare Ko…

Ek Baar Bhi Nahi Pucha Abhi Toh Tum Yahi Ho,
Kya Betodege Tum Apni Jagah Par, Haan Bhai Jagah Par?

Kuchh Nahi Hota Yeh Khel To Bada Hi Purana Hain,
Aaj Kursi Par Tum Baithe Ho, Aur Dur Tumse Zamana Hain,
Kuchh Nahi Hota Yeh Khel To Bada Hi Purana Hain,
Aaj Kursi Par Tum Baithe Ho, Aur Dur Tumse Zamana Hain…

By-Surya Prakash Arya “Surya Uttarakhandi”

(This Hindi Poem tells us a bitter lesson of chair and how a chair or position in organization plays an important and central role in some people’s life. Through this Hindi Poem of mine, I am just reflecting the same feelings).

Poem recitation by Surya Prakash Arya on Vasant Panchami 2014

Monday, September 14, 2015

Kaun Hain Tere




Kuan Hain Tere, Tu Samajh,
Aur Jo Na Samajh Saka Tu,
Toh Prakash Main Bhi Tujhe,
Sirf Andhkar Hi Dikhega…

Kya Jarurat Hain Apno Ki,
Yaad Kar, Jab Tu Dukh Ka Mara Tha,
Tere Hi Apno Ne Tujhe Diya,
Ek Sahara, Ek Kinara…

Jab Tu Sukhi Tha, To Sirf,
Tere Dost Hi They Tere,
Par Jab Tu Phans Gaya Hain,
Toh Puchh Raha Kuan Hain Tere…

Tattol Ke Tu Dekh Mann Ko,
Jo Tere Andar Hain Panpi Baat,
Wo Tu Bata Apno Ko,
Tera Ho Jayega Udhhar…

Kuan Hain Tere, Tu Samajh,
Aur Jo Na Samajh Saka Tu,
Toh Prakash Main Bhi Tujhe,
Sirf Andhkar Hi Dikhega…

By-Surya Prakash Arya “Surya Uttarakhandi”

(This Hindi Poem is telling us that who all is yours in this life. In this life, we used to get influenced by many materialistic things and at times we forget all our relations. But life cycle is like a full circle and we tend to get back to the same point at certain point in time. Therefore, through this Hindi Poem, I am trying to tell that embrace your real one before it gets too late).

Garibi Abhishaap Hain




Phate Kapade, Bhikre Baal, Hathon Ko Failaye, Bheek Maang Rahi Tum Nidhal,
Garibi Abhishaap Hain, Suna Tha, Aaj Dekh Raha Hun,
Tumhare Ankhon Main, Dukh Aur Dard, Main Dekh Raha Hun…

Muhh Se Nikalte Tumhare Shabh, Sabko De Rahe Duayen,
Phati Aur Maili Chadar Se Tum, Dakh Rahe Shrir Ko Haye,
Vyakulta Ke Maare, Mera Dil Paseej Gaya Tha,
Garibi Abhishaap Hain, Suna Tha, Aaj Dekh Raha Hun,
Tumhare Ankhon Main, Dukh Aur Dard, Main Dekh Raha Hun…

Haddi Tuti, Maans Latak Raha, Aur Haath Jhoole Sa Jhul Raha,
Tumne Na Aandhi Dekhi, Tumne Na Baarish Dekhi,
Taktaki Lagaye, Isshrey Se, Hath Muhh Ki Taraf Kar, Bus Bheek Mangi,
Garibi Abhishaap Hain, Suna Tha, Aaj Dekh Raha Hun,
Tumhare Ankhon Main, Dukh Aur Dard, Main Dekh Raha Hun…

Dhoop Se Jal Chuki Tumhari Khal, Lag Rahi Thi Koyle Samaan,
Zakhm Sadh Raha Tha, Aur Makhhiyan Kar Rahi Thi Tumhe Pareshan,
Lekin Tumhe Kahan Sudh Thi Inn Baaton Ki, Pet Main Lagi Thi Tumhare Aag,
Garibi Abhishaap Hain, Suna Tha, Aaj Dekh Raha Hun,
Tumhare Ankhon Main, Dukh Aur Dard, Main Dekh Raha Hun…

Main Ashcharyachakit Rah Gaya, Dekh Kar Samaj Ka Ek Bhyanak Chehra,
Jab Pagalon Si Tum, Sadak Ke Kinare Paar Kar Rahi Thi,
Aur Nau Mahh Ke Garb Ke Saath Tum Dikh Rahi Thi, Hey Prabhu,
Garibi Abhishaap Hain, Suna Tha, Aaj Dekh Raha Hun,
Tumhare Ankhon Main, Dukh Aur Dard, Main Dekh Raha Hun…

Phate Kapade, Bhikre Baal, Hathon Ko Failaye, Bheek Maang Rahi Tum Nidhal,
Garibi Abhishaap Hain, Suna Tha, Aaj Dekh Raha Hun,
Tumhare Ankhon Main, Dukh Aur Dard, Main Dekh Raha Hun…


By-Surya Prakash Arya “Surya Uttarakhandi”

(I am dedicating this Hindi Poem to Poverty. Poverty is a kind of curse on mankind. In this Hindi Poem, I am narrating an incident, which I saw while I was going through a very busy road, how tough and inhuman this poverty can be. It was an eye opening incident and through this Hindi Poem, I am sharing that feeling with you).

Friday, September 11, 2015

Rishton Ki Dhor



Hoti Hain Nazuk,
Ye Rishton Ki Dor,
Jyada Na Khincho,
Ho Jayenge Gol…

Anmol Hote Hain,
Ye Rishtey Naate,
Samjho Pehchano,
Aur Unko Mano…

Pyar Ka Rishta,
Hota Hain Pyara,
Jug Main Nyara,
Rishta Hamara…

Vishwas Hi Kadi,
Hoti Hain Khaas,
Na Todo Isko,
Jughasayi Hogi Aaj…

Rishtey Atulniye Hain,
Bante Jo Mushkil Se,
Gar Molbhav Hi Karna Tha,
To Kyon Banaye They Rishtey?

Rishtey Ka Matlab,
Laad Lagana, Khoob Itrana,
Aur Kabhi Kabhi,
Gussey Ko Dikhana, Chup Ho Jana…

Hoti Hain Nazuk,
Ye Rishton Ki Dor,
Jyada Na Khincho,
Ho Jayenge Gol…

By-Surya Prakash Arya “Surya Uttarakhandi”

(This Hindi Poem of “Rishton Ki Dor” expresses a feeling that how important are relations in life. So, you need to nurture it with your love and care. Without relation’s life becomes empty. Through this Hindi Poem, I am just trying to tell that because of its sanctity one has to take care of it delicately).

Sukha Pada Hain



Taktaki Lagaye Baitha,
Main Aasmaan Ko Takta,
Pyasi Zameen Phat Rahi,
Zuban Meri Sukh Rahi,
Sukha Pada Hain…

Anshoan Ki Baarish,
Mujhe Bheego Rahi,
Jane Kya Hoga Aage?
Rooh Meri Tatol Rahi,
Andhera Ankhoan Main Hain…

Unche Akash Ko,
Main Phir Dekha,
Shayad Ho Kahin,
Ek Kale Megh Ka Tukdha,
Na, Nahi Hai Re Tu Badra…

Ulte Sheede Khaab,
Mann Main Aa Rahe,
Bus Lala Ji Hi Saamne,
Mujhe Nazar Aa Rahe,
Main Pagal Huye Ja Raha Hun…

Kanastar Khaali,
Aur Peht Bhi Khaali,
Beta Beti Gharwaali,
Sabhi Bhuke Lete Padhe,
Main Kahan Sheesh Nawaun?

Kya Mera Samay,
Ho Gaya Hain Pura,
Apne Ko Raakh Kar Dun,
Samashya Ko Dur Kar Dun,
Aur Karz Apne Sabh Mita Dun… 

Taktaki Lagaye Baitha,
Main Aasmaan Ko Takta,
Pyasi Zameen Phat Rahi,
Zuban Meri Sukh Rahi,
Sukha Pada Hain…

By-Surya Prakash Arya “Surya Uttarakhandi”

(I am dedicating this Hindi Poem to farmer’s who are committing suicide because of prevailing drought conditions in some part of India. Through this Hindi Poem, I am just trying to vacillate, what might the farmer must be thinking before taking such adverse step to finish his ilfe. My sympathies are with him and his family members).

Thursday, September 10, 2015

Kab Tak Itihaas Dohraoge?




Atpata Sa Prashn Hain,
Kab Tak Itihaas Dohraoge?
Pehle Jab Itihaas Banaya,
Phir Wahi Itihaas Dohraoge…

Thoda Karo Chitt Ko Shant,
Socho Kiya Kya Pehle Tumne,
Aur Jo Karne Abh Ja Raha,
Wahi Itihaas Main Dohra Raha…

Hadhbadahat Pehle Bhi Ki Thi,
Hadhbadahat Main Phir Kar Raha,
Na Pichhe Dekha, Na Aage Socha,
Phir Se Galtiyan Dohra Raha…

Samaj Jo Tera Hain,
Woh Tera Hi Hoga,
Aur Jo Tera Na Ho Sakha,
Nahin Tha Wo Tera Kabhi…

Samay Leta Imtihaan Hain,
Tu Kitna Hain Andar Balwaan,
Na Tutna Tu Parsthiyon Se,
Na Bhikharna Tu Andhiyon Se…

Tune Kitni Rituan Dekhi,
Tune Kitne Log Dekhe,
Samay Hain Tu Soch Mann Se,
Aur Dimaag Se Kaam Kar Le…

Atpata Sa Prashn Hain,
Kab Tak Itihaas Dohraoge?
Pehle Jab Itihaas Banaya,
Phir Wahi Itihaas Dohraoge…

By-Surya Prakash Arya “Surya Uttarakhandi”

(This Hindi Poem is describing about the life and complicaies in life. At times, when we have experienced limited life, we used to do thing in hurry, without even thingking about the consequences. But, with age and experience, we understand the nitty gritty of life. Through this Hindi Poem, I am trying to tell, that we have to learn to be patient, otherwise history would repeat itself and we may end up doing the same mistakes as we have done earlier).