Monday, September 14, 2015

Garibi Abhishaap Hain




Phate Kapade, Bhikre Baal, Hathon Ko Failaye, Bheek Maang Rahi Tum Nidhal,
Garibi Abhishaap Hain, Suna Tha, Aaj Dekh Raha Hun,
Tumhare Ankhon Main, Dukh Aur Dard, Main Dekh Raha Hun…

Muhh Se Nikalte Tumhare Shabh, Sabko De Rahe Duayen,
Phati Aur Maili Chadar Se Tum, Dakh Rahe Shrir Ko Haye,
Vyakulta Ke Maare, Mera Dil Paseej Gaya Tha,
Garibi Abhishaap Hain, Suna Tha, Aaj Dekh Raha Hun,
Tumhare Ankhon Main, Dukh Aur Dard, Main Dekh Raha Hun…

Haddi Tuti, Maans Latak Raha, Aur Haath Jhoole Sa Jhul Raha,
Tumne Na Aandhi Dekhi, Tumne Na Baarish Dekhi,
Taktaki Lagaye, Isshrey Se, Hath Muhh Ki Taraf Kar, Bus Bheek Mangi,
Garibi Abhishaap Hain, Suna Tha, Aaj Dekh Raha Hun,
Tumhare Ankhon Main, Dukh Aur Dard, Main Dekh Raha Hun…

Dhoop Se Jal Chuki Tumhari Khal, Lag Rahi Thi Koyle Samaan,
Zakhm Sadh Raha Tha, Aur Makhhiyan Kar Rahi Thi Tumhe Pareshan,
Lekin Tumhe Kahan Sudh Thi Inn Baaton Ki, Pet Main Lagi Thi Tumhare Aag,
Garibi Abhishaap Hain, Suna Tha, Aaj Dekh Raha Hun,
Tumhare Ankhon Main, Dukh Aur Dard, Main Dekh Raha Hun…

Main Ashcharyachakit Rah Gaya, Dekh Kar Samaj Ka Ek Bhyanak Chehra,
Jab Pagalon Si Tum, Sadak Ke Kinare Paar Kar Rahi Thi,
Aur Nau Mahh Ke Garb Ke Saath Tum Dikh Rahi Thi, Hey Prabhu,
Garibi Abhishaap Hain, Suna Tha, Aaj Dekh Raha Hun,
Tumhare Ankhon Main, Dukh Aur Dard, Main Dekh Raha Hun…

Phate Kapade, Bhikre Baal, Hathon Ko Failaye, Bheek Maang Rahi Tum Nidhal,
Garibi Abhishaap Hain, Suna Tha, Aaj Dekh Raha Hun,
Tumhare Ankhon Main, Dukh Aur Dard, Main Dekh Raha Hun…


By-Surya Prakash Arya “Surya Uttarakhandi”

(I am dedicating this Hindi Poem to Poverty. Poverty is a kind of curse on mankind. In this Hindi Poem, I am narrating an incident, which I saw while I was going through a very busy road, how tough and inhuman this poverty can be. It was an eye opening incident and through this Hindi Poem, I am sharing that feeling with you).

No comments:

Post a Comment