Wednesday, September 9, 2015

Prayason Ki Prashansha




Prayason Ki Prashansha,
Wahi Kar Sakta Hain,
Jo Bhudhi Jeevi Hain,
Jo Nishpaap Hain,
Jo Pragati Sheel Hain…

Prayason Ki Prashansha,
Ek Adbhut Sa Ehsas Deti,
Manav Hriday Main,
Bus Aas Bharti,
Ek Naya Honsla Deti…

Insaan Chahta Hain,
Prashansha, Prerna,
Utsah, Umang,
Pyar, Aur Lagav,
Yehi Deta Usko Badhao…

Apna Hriday Ko Vishaal Kar,
Koi Din Apno Ke Naam Kar,
Phir Dhekna Jagrat Jan,
Tujh Ko Karenge,
Shat Shat Naman…
Tujh Ko Karenge,
Shat Shat Naman…

Prayason Ki Prashansha,
Wahi Kar Sakta Hain,
Jo Bhudhi Jeevi Hain,
Jo Nishpaap Hain,
Jo Pragati Sheel Hain…

By-Surya Prakash Arya

(This Hindi Poem is describing about praising people who does work for us. In this Hindi Poem, I am sharing the feeling that appreciating other for their effort matters a lot. We should not let go of any opportunity where we apprepirate people for smallest of the thing. It does create wonders, but we need to follow it by heart).

No comments:

Post a Comment