Monday, September 7, 2015

Gyan Ko Baant




Jitna Tu Gyan Ko Baantega,
Utna Hi Tu Gyani Banega,
Tere Andar Ek Urja Aayegi,
Jiska Tu Samman Karega…

Vidha Teri Har Din Nikhar Rahi Hain,
Tu Jo Duniya Ko Karke Dikha Raha Hain,
Kal Tera Hi Yash Aur Gungaan,
Kar Dega Tujh Ko Dhanwaan…

Kai Baaton Ke Arth Tujhe Hi Khojne Honge,
Khoje Huye Arth, Samajhne Honge,
Jo Tu Isko Samaj Sake Toh Dhyan Karna,
Duniya Se Isko Sanjha Karna…

Ahankar Ko Apne Pass,
Phatakne Bhi Na Dena,
Jitna Ho Sake Tu Logon Ka, Samman Karna,
Jag Ko Apne Se Jagrat Karna…

Jitna Tu Gyan Ko Baantega,
Utna Hi Tu Gyani Banega,
Tere Andar Ek Urja Aayegi,
Jiska Tu Samman Karega…
   
By-Surya Prakash Arya

(This Hindi Poem is all about knowledge in life. One needs to share it with everybody. If we share knowledge with others, it not only made others more informed, but also enhances your knowledge.  This Hindi Poem emphasizes that sharing matter more in life).

No comments:

Post a Comment