Monday, September 7, 2015

Jivan Ki Raah




Jivan Ki Raah Main Tu Aage Badh,
Ghan Ghor Bhi Kyon Na Ho Vipatti Bhi,
Chitt Ko Sthir Kar Aur Tu Aage Badh,
Yeh Tujhe Hi Karna Hain,
Aur Aage Badhna Hain…

Jai Aur Parajai Dono Tere Saathi Hain,
Jivan Ki Iss Dagar Main Hum Tere Saathi Hain,
Upper Wala Hi Toh Yeh Sanchalit Kar Raha Hain,
Tere Madhyam Se Iss Duniya Ko Rach Rahain Hain,
Abh Toh Apni Akheine Khol Dekh Tu…

Na Tu Akela Hain, Na Tu Akela Hoga,
Tere Saath Bus Uss Ka Saath Hoga,
Karishma Koi Nahi Tu Hi Karega,
Dusro Ka Haath Thamm Ke Dekh,
Tera Ek Naya Rishta Banega…

Jivan Ki Raah Main Tu Aage Badh,
Ghan Ghor Bhi Kyon Na Ho Vipatti Bhi,
Chitt Ko Sthir Kar Aur Tu Aage Badh,
Yeh Tujhe Hi Karna Hain,
Aur Aage Badhna Hain…

By-Surya Prakash Arya

(This Hindi Poem is all about life and moving ahead in life. This Hindi Poem tells us that life is full of challenges and we need to find a balance. We have to move forward and embrace as many people we know, we meet, and then only we make our life fulsome).

No comments:

Post a Comment