Thursday, September 10, 2015

Himalaya




Gagan Ko Chooti, Teri Choti,
Tu Hain Shwet, Par Roop Anek,
Kabhi Laal Ho Kar, Tu Sharmata,
Kabhi Sunhara Hokar So Jata…

Tu Adbhut Hai, Tu Vishal Hain,
Kahin Tu, Haathi Samaan Hain,
Aur Kahin Tu, Barf Se Dakha,
Ek Mazbhot Sa Pathaar Hain…

Teri Shrankhla Naveen Hain,
Tabhi Toh Tu Har Din Nit Din,
Badh Raha Hain, Nayi Unchaiyon Ko,
Chu Raha Hain, Aur Badh Raha Hain…

Tune Apne Anchal Pe Jani,
Sadabahaar Kalkal Karti Nadiyan,
Dudh Si Dikhti Har Nadiyan,
Sahastradharaon Se Banti Nadiyan…

Tu Himalaya, Phal Dayi Hain,
Tere Parvat Se Takrate Megh,
Baarish Ban Kar Jal Barsate,
Har Sukhe Ki Pyaas Bhojhate…

Tu Sina Thok Kar Khada Hain,
Aur Apne Bal Ke Wegh Se,
Tune Dushmano Ka Chainn,
Chhina Hain, Chhina Hain…

Gagan Ko Chooti, Teri Choti,
Hey Himalaya, Hey Himalaya,
Tu Hain Shwet, Par Roop Anek,
Kabhi Laal Ho Kar, Tu Sharmata,
Kabhi Sunhara Hokar So Jata…

By-Surya Prakash Arya “Surya Uttarakhandi”

(This Hindi Poem is describing about the great and mighty “The Himalaya”. The Himalayas is one of the newest mountain range in the world. Through this Hindi Poem, I am telling about the greatness of the Himalayas, as it is not just providing shelter to us, but in a way has become part of life in Himalayan Region of India like, Jammu & Kashmir, Himachal Pradesh, Uttarakhand, Sikkim & Arunachal Pradesh).

No comments:

Post a Comment