Monday, September 21, 2015

Sadak Par Zindagi




Uff Badi Hi Pareshan Karne Wali Hain Sadak Par Zindagi,
Uff Badi Hi Hairaan Karne Wali Hain Sadak Par Zindagi…

Tang Sadako Main Itni Bheed Thi, Bus Bheed Thi,
Aur Tang Sadako  Main Zindagi Badi Mashgul Thi…

Tang Sadako Main Sabh Bhaag Rahe They Idhar Udhar,
Tang Sadako Main Zindagi, Zindagi Ko De Rahi Thi Umar…

Koi Chilla Raha Tha Gala Padh Kar, Toh Koi Dhakka De Raha Tha,
Koi Cycle Ki Tring Tring, Toh Koi Horn Baja Raha Tha Har Taraf…

Jaldh Baazi Main Bhi, Zindagi Ko Bhi Zindagi Ki Khabar Thi,
Jo Zindagi Sirf Apne Main Thi, Dusro Ko Bhi Uski Kadar Thi…

Phir Sadak Thodi Chaudi Huyi, Zindagi Bhi Thodi Choti Huyi,
Tejh Nikhalne Ki Hodh Main, Beparwah Si Zindagi Huyi…

Aao Dekha Na Tao, Bus Gati Ho Gayi Thi Belagaam,
Yahan Par Bhi Kuchh Shor Tha, Bus Horn Hi Horn Ka Zor Tha…

Kuchh Haath Ishara Kar Rahe They, Apna Rasta Dikhla Rahe They,
Aur Kuchh Achanak Se Break Par Pair Laga, Aage Wale Ko Dhakhel Rahe They…

Par Abh Sadak Bilkul Chaudi Aur Sapaat Ho Gayi Thi,
Aur Break Ki Jagah Accelerator Se Meri Dosti Ho Gayi Thi…

Iss Jaldbaazi Ke Pher Main, Main Phans Chuka Tha,
Aur Jaane Anjaane Hi Rat Race Ke Chakkar Main Phans Chuka Tha…

By-Surya Prakash Arya "Uttarakhandi"

(This Hindi Poem is describing about how life can be in a busy and constricted road. Through this Hindi Poem, I am also telling that how life becomes when we come in a broad and smooth).

No comments:

Post a Comment