Friday, November 23, 2012

Andolanrat



Jiske Bal Yeh Udyog Hain Chalte,
Sarkaron Ke Khazane Hain Bharte,
Har Pal Hain Desh Pradesh Ki,
Hum Se Hi Hain Tarakki Hoti….

Jab Safed Aur Neele Collaraon Ka,
Ek Taalmel Sa Ho Jata Hain,
Tab Swarnim Aksaraon Mein,
Itihaas Ka Paana Badal Jata Hain….

Par Aksar Aisa Ho Jata Hain,
Jab Prabandhan Tantra Ka Pet Bhar Jata Hain,
Woh Kutnithi Pe Uttar Kar,
Sabh Kuchh Gadhbad Kar Jata Hain….

Tanashah Woh Hain Bankar,
Jalladonsa Hukum Chalta,
Aur Apne Hi Iss Bune Jaal Main,
Lot Pot Ke Dhamm Se Ghir Jata….

Acchi Khasi Vyavastha Ko Wo,
Avyavastha Mein Badal Deta Hain,
Aur Subh Kuchh Gudhgobar Ho Jane Par Wo,
Hamein Hi Bali Ka Bakra Bana Deta Hain….

Kabhi Kissi Ko Sthananantrith,
To Kissi Ko Suspend Kar Deta Hain,
Aur Agar Kuchh Aur Na Ho Sake To,
Kissi Ki Study Leave Hi Sanction Kar Deta Hain….

Inki Kissi Bhi Baataon Ka,
Kahin Koi Jawab Nahi Hain,
Aur Kisi Bhi Vayadon Ka,
Likhit Koi Hisaab Nahin Hain….

Kuchh Cheeze Toh Inmein Thunsh Thunsh Ke Bhari Hain,
Nalayaki Ki Bhi Kahin Koi Kami Nahi Hain,
Dhurrttaa To Inke Kya Kehne Hain,
Har Kone Mein Bus Vyapt Bhari….

Kanth Chanth Ke Yeh Khiladi Hain,
Baaton Ke Bhi Bade Vyapari Hain,
Aur Besan Ke Methe Ladoo Ke Ander,
Kunein Ke Goli Nigalwa Dete Hain ….

Bahut Dekh Li Abh Inki Kutniti,
Bahut Kar Chuke Abh Yeh Rajneeti,
Abh Wapas Inko Jana Hoga,
Varna Muhh Ki Khana Hoga….

Wapas Jao Ka Nara Buland Hain,
Adhikari Karamchari Jo Sang Hain,
Nigam Ke O Dalalon Tum Sun Lo,
Boriya Bistar Tum Baandh Ke Cut Lo….

Iss Prabandhan Tantra Ke Haal Phast Hain,
Iss Nigam Ka Raja Jo Mast Hain,
Godhe Ki Khaal Hataa Ke Dekho,
Gadha Yahan Pe Chuppa Madhmast Hain….

Satta Walon Ko Satta Ka Gamand Hain,
Ankhein Mundh Kar Wo Mast Hain,
Par Issi Masti Mein Mat Bhulo Tum,
Kaise Hain “Gaddafi” Ne Prann Gawaye….

Andolanrat Karmiyon Ka,
Har Ek Nara Bulund Hain,
Tum Hamari Jayaz Mangein Mano,
Varna Apna Samaan Bandh Ke Yahan Se Chal Lo….
Varna Apna Samaan Bandh Ke Yahan Se Chal Lo….

Surya Prakash Arya
Sparya_in@yahoo.com

(This Hindi poem is describing about the agitations held in government organization against Management and Government’s policies which are accruing least benefits to employee’s and rather making situation more tense and inhuman for masses).

Krishh



Woh Jo Ek Shann Tha,
Jab Khabar Mili Thi Humko,
Ki Ghar Mein Ek Chotta Sa,
Aane Wala Hain Mehmaan …

Rome Rome Pulkit Ho Gaya Tha,
Aur Lagne Laga Tha Har Din Tyohaar,
Har Ek Din Bus Yun Lagta Tha,
Ki Kab Ho Jayega Yeh Yun Phurr…

Kuchh Dino Mein Jab Tu Aakaar,
Maa Mein Le Raha Tha Tu Sakaar,
Har Din Tujh Se Baatein Karke,
Hum Khush Ho Rahe They Tujh Ko Paake…

Matritva Pitritva Ka Ho Raha Tha Bodh,
Khushaal Tha Ghar Ko Har Kona Sroth,
Tere Liye Har Din Kar Rahe They,
Kuchh Tyari Aur Kuchh Sochh…

Woh Samay Bada Hi Uthal Puthal Tha,
Vivashtaon Ka Bojh Bada Tha,
Kai Baataon Mein Pransh Chinn They,
Aur Kai Baataon Ke Jawaab Kai They….

Par Unn Sithiyon Ko Bhi Humne,
Khub Dath Kar Hain Niptaya,
Aur Tabhi Toh Hamari Godh Mein,
Nanha Sa Yeh Bal Gopal Aaya…

Apno Ka Kuchh Achha Saath Mila,
Aur Shurrvat Ka Kuchh Mitha Samay Bithaya,
Aur Dheere Dheere Har Paristhiyaon Ko,
Apne Liye Maakul Banaya…

Hum Har Din Tumko Badhta Dekh Rahe Hain,
“Krishh” Ko Kahna Ki Tarah Soch Rahe Hain,
Aur Soch Soch Ke Aane Wale,
Dino Ko Bhi Hum Dekh Rahe Hain…

“Krishh” Ka Woh Haath Hilana,
Nanhi Palko Ko Jhapkana,
Aur Zor Se Shor Machna,
Phir Ithlana Aur Haas Jana…

Rajaon Sa Iska Bachpan,
Dudh Peeke Khub Khelna,
Aur Phir Su Su Potty Karke,
Saaf Karake Phir So Jana…

Mummy Kehti Hain IAS Banana,
Papa Chahte Hain Khel Mein Jana,
Dada Bhau Ka Bhi Kya Kehna Hain,
Pandit Ji Se Har Roz/Din Bicharwana…

Par Hum Sabh Yahi Hain Chahte,
Yeh Bada Ho Kar Khushhaal Bane/Rahe,
Aur Apne Lambe Jeevan Path Par,
Naam Roshan Kare Yeh Ghar Ka Deepak...

Hum Sabhi Ka Haath,
Hain “Krishh” Par,
Golu Bhagwati Aur Ishtaon Ka Bhi,
Aashirvad Hain “Krishh” Par…

Surya Prakash Arya

Sparya_in@yahoo.com

(This Hindi poem is dedicated to my son “Krishh” born on 1st September, 2012 at Dehra Dun, Uttarakhand. Through this Hindi poem I am mesmerizing some just gone days, and contempalating coming days of Krishh to be as bright as light of “Sun”).

Yeh Samay Bhi Guzar Jayega



Har Pal Zindagi Mein,
Kuchh Moud Aate,
Kuchh Khatte,
Kuchh Meethe Aate,
Par Yeh Hum Sabho,
Jhanjodh Jathe….

Chahta Hun Mein,
Shithir Ho Shithiya,
Par Kya Mere,
Chahane Bar Se,
Shithir Ho Jayengi,
Saari Shithiya…

Kaash Kuchh Ye,
Sach Ho Jata,
Mein Bhi Kuchh,
Jeevan Ka Luft Uttata,
Umadh Gumadh Ke Mein Bhi Kuchh,
Mitti Mein Yun Lott Lagata…

Bhagam Bhag Hain,
Jootum Laat Hain,
Jeevan Mein Bus,
Kyon Tu Pareshan Hain,
Kuchh Der To Tu Baith Zara,
Do Pal To Tu Late Zara…

Peeth Mein Chuhey,
Daud Rahe Hain,
Jane Tujh Ko Kyon,
Koshh Rahe Hain,
Khane Ki Hi Toh Baat Hain,
Dal Roti Aur Bhaat Hain…

Shararati Sa,
Chota Baccha Ban,
Kuchh Chappan Pede,
Gapagap Kha Jata,
Aur Jeebh Se Chatt Chatt Kar,
Sabhko Mein Ye Muhh Chidhata…

Yeh Ek Samay Hain,
Yeh Ek Pariksha Hain,
Yeh Ek Modh Hain,
Yeh Ek Prashn Hain,
Yeh Ek Samvaad Hain,
Yeh Ek Chakra Hain…

Yeh Samay Bhi Guzar Jayega…..

Surya Prakash Arya
Sparya_in@yahoo.com


(This Hindi Poem is telling us about that hard time does not last for long and one just has to move on and on and things will get alright with passage of time).

Sunday, November 18, 2012

Har Taraf Khuda Hain….


Dekho Har Kona,
Tuth Gaya Hain,
Shahar Bhi Apna,
Ruth Gaya Hain,
Bus Khuda Pada,
Idhar Udhar,
Aur Har Taraf Hain,
Yeh Raasta Bundh….

Har Taraf Khuda Hain,
Jidhar Bhi Dekho,
Bus Khuda Hi Khuda Hain,
Khule Raston Ka Bhi,
Bada Haal Bura Hain,
Bus Khuda Hi Khuda Hain….

Tang Raston Ka Toh,
Bada Hi Haal Bura Hain,
Jahan Na Rasta Hain,
Aur Kahan Na Jane,
Dhul Metti Kankad,
Aur Khula Gaddha Hain….

Kaam Ka Toh Bahana Hain,
Ghar Late Jo Jana Hain,
Biwi Bachhon Ki Kitkit Se,
Behtar Maal Kamana Hain,
Aur Kamaa Ke Phir Lutana Hain,
Netaon Ko Patana Hain….

Har Baat Pe Pair Adhana Hain,
Maal Jo Kamana Hain,
Hazaar Bahane Dundh Ke Bhaiya,
Chacha Tau Ke Bachon Ko Lana Hain,
Bus Yahan Wahan,
Set Karana Hain….

Deemi Chaal Ka Khel Dekho,
Noteon Ki Bhi Rail Dekho,
Ajab Gajab Se Bataon Mein,
Kaam Ko Sirf Tarakana Hain,
Aur Phir Sarpat Jaldi Mein,
Jhatphat Kaam Karana Hain.…

Jhatpat Kaam Ki Railumpel Mein,
Sabhko Dhul Chattana Hain,
Avsarvaad Ka Fayada Uttha,
Kaam Ko Phatphat Karna Hain,
Jab Tak Koi Samaj Sake,
Note Gatak Kar Jana Hain….

Arrey Sadak Hain,
To Tutegi Bhi,
Aur Tutt Ke Bhaiya Yeh Bhi,
Kal Badi Hi Sundar Hogi,
Jab Lag Honge Isme Kuchh,
Rafu Aur Talle Kuchh….

Kisko Ilm Hain,
Kisko Fikr Hain,
Kisko Dard Hain,
Kisko Malaal Hain,
Jab Disco Main,
Mera Laal Hain….

Dekho Har Kona,
Tuth Gaya Hain,
Shahar Bhi Apna,
Ruth Gaya Hain,
Bus Khuda Pada,
Idhar Udhar,
Aur Har Taraf Hain,
Yeh Raasta Bundh….

Surya Prakash Arya
Sparya_in@yahoo.com

(I am dedicating this Hind Poem to the potholed road of Dehra Dun, Uttarakhand and the way Government machinery is working in its usual pace for work)

Unnati Ka Geet


Aao Gaye Ek “Unnati Ka Geet”,
Jo Tera Mera Ho Manmeet,
Saharsh Hi Jo Milaye Reet,
Svachand Aakash Mein Jo Kare Preet….

Unmukht Aakash Ho,
Jahan Har Manav Ki,
Ek Aukaat Ho,
Jahan Bhavsagar Mein,
Sabhki Nayya Paar Ho…..

Andhera Dekho Chatt Gaya Hain,
Chand Kinare Hatt Gaya Hain,
Sitare Bhi Ghum Ho Chuke Hain,
Baari Hain Abh Thodi Lamima Ki,
Phir Bus Ujle Ujaale Ki…..

Ye Ujaala Kuchh Aisa Aaye,
Jo Har Taraf Bagiya Mahkaye,
Har Pedh Ki Bus Shaka Mein,
Naye Patte, Rangbirange Phool,
Aur  Phal Hi Phal Latkaye…..

Har Taraf Aman Aur Suahardr Ho,
Jahan Khushiya Apram Paar Ho,
Bus Manavta Ka Hi Gun Gaan Ho,
Jahan Deshbakhti Ko Pranam Ho,
Kuchh Aisa “Mera Bharat Mahan” Ho…..

Bin Lal Batti Har Sadak Ho,
Rail Ka Jaal Bus Har Taraf Ho,
Hawai Jahaj Na Mahaz Khawab Ho,
Buson Mein Keval Logon Ka Raaj Ho,
Aur Car Keval Udhta Jahaj Ho…..

Rog Bimaari Bus Ek Chutki Bajate Hi,
Yahan Wahan Kahin Gayab Ho,
Svachh Hawa Mein Manav Jiye,
Jahan Na Bhuk Ho Aur Na Pyaas Ho,
Bus Sabke Liye Ek Sunhara Sansaar Ho…..

Par Iska Matlab Yah Nahi Hain,
Ki Kaam SeTu Nidaal Ho,
Bistar Par Keval Tu Hi Nihaal Ho,
Tikiya Gadda Aur Tera Laal Ho,
Na Koi Yeh Balidaan Ho…..

Iss Khawab Ko Haqeeqat Banane Mein,
Lag Jaye Hum Sabh Pure Saal Mein,
Hathon Se Hathon Ko Tham Lein,
Jab Apne Pran Ko Hum Thaan Lein,
Manav Jaati Ke Uthaan Mein,
Sabh Juth Jaye Pure Jee Jaan Mein,
Ankhon Mein Sapne Paal Lein,
Aur Sachh Ho Jayain Saare Khawab Re,
Bus Yahi Ho Unaati Ka Geet Re,
Bus Yahi Ho Unaati Ka Geet Re……  

Surya Prakash Arya

(This Hindi Poem is telling us about what development should be for all of us)

Samay Ka Pahiya


Samay Ka Pahiya,
Ghum Raha Hain,
Dekho Zhat Phat,
Ghum Raha Hain….

Pakad Sako Toh,
Issey Pakad Lo,
Thoda Apne,
Vash Mein Karlo…

Hum Bhi Iss Ke Aage Peeche,
Daud Rahe Hain Phat Phat Phat Phat,
Daud Daud Ke Bhag Bhag Ke,
Hanph Rahe Hain Lagbugh Lagbugh….

Dusmann Jaisa Yeh Chaalbaaz,
Yun Phurr Se Udh Jata Hain,
Jab Isko Hum Samaj Hain Paate,
Na Jaane Ghum Ye Jata Hain….

Thik Thik Gadi Hain Chalti,
Aur Din Pura Ho Jata Hain,
Na Jane Yeh Kiss Kiss Ka,
Samay Kinchh Chala Jata Hain….

Uff Tauba Mein Karne Laga Hun,
Samay Ko Thoda Samajh Ne Laga Hun,
Samajh Bhujh Kar Mein Bhi Haan Bhai,
Thoda Isko Mein Bhi Vash Karne Laga Hun….

Dincharya Mein Samay Ko Apne,
Thoda Mein Abh Karne Laga Hun,
Ek Ek Din Ko Bandh Bandh Ke,
Mein Bhi Thoda Chalne Laga Hun….

Kai Uttar Chadaav Bhi Abh,
Nishthur Se Nahi Lagte Hain,
Kyonki Meine Seekh Liya Hain,
Samay Ko Apne Sadupyog Mein….

Samay Ka Pahiya,
Ghum Raha Hain,
Dekho Zhat Phat,
Ghum Raha Hain….

Pakad Sako Toh,
Issey Pakad Lo,
Thoda Apne,
Vash Mein Karlo…

Surya Prakash Arya
Sparya_in@yahoo.com

(This Hindi Poem is dedicated for Time Management, which we all should try to inculcate in our life for self improvement and betterment.)