Sunday, November 18, 2012

Unnati Ka Geet


Aao Gaye Ek “Unnati Ka Geet”,
Jo Tera Mera Ho Manmeet,
Saharsh Hi Jo Milaye Reet,
Svachand Aakash Mein Jo Kare Preet….

Unmukht Aakash Ho,
Jahan Har Manav Ki,
Ek Aukaat Ho,
Jahan Bhavsagar Mein,
Sabhki Nayya Paar Ho…..

Andhera Dekho Chatt Gaya Hain,
Chand Kinare Hatt Gaya Hain,
Sitare Bhi Ghum Ho Chuke Hain,
Baari Hain Abh Thodi Lamima Ki,
Phir Bus Ujle Ujaale Ki…..

Ye Ujaala Kuchh Aisa Aaye,
Jo Har Taraf Bagiya Mahkaye,
Har Pedh Ki Bus Shaka Mein,
Naye Patte, Rangbirange Phool,
Aur  Phal Hi Phal Latkaye…..

Har Taraf Aman Aur Suahardr Ho,
Jahan Khushiya Apram Paar Ho,
Bus Manavta Ka Hi Gun Gaan Ho,
Jahan Deshbakhti Ko Pranam Ho,
Kuchh Aisa “Mera Bharat Mahan” Ho…..

Bin Lal Batti Har Sadak Ho,
Rail Ka Jaal Bus Har Taraf Ho,
Hawai Jahaj Na Mahaz Khawab Ho,
Buson Mein Keval Logon Ka Raaj Ho,
Aur Car Keval Udhta Jahaj Ho…..

Rog Bimaari Bus Ek Chutki Bajate Hi,
Yahan Wahan Kahin Gayab Ho,
Svachh Hawa Mein Manav Jiye,
Jahan Na Bhuk Ho Aur Na Pyaas Ho,
Bus Sabke Liye Ek Sunhara Sansaar Ho…..

Par Iska Matlab Yah Nahi Hain,
Ki Kaam SeTu Nidaal Ho,
Bistar Par Keval Tu Hi Nihaal Ho,
Tikiya Gadda Aur Tera Laal Ho,
Na Koi Yeh Balidaan Ho…..

Iss Khawab Ko Haqeeqat Banane Mein,
Lag Jaye Hum Sabh Pure Saal Mein,
Hathon Se Hathon Ko Tham Lein,
Jab Apne Pran Ko Hum Thaan Lein,
Manav Jaati Ke Uthaan Mein,
Sabh Juth Jaye Pure Jee Jaan Mein,
Ankhon Mein Sapne Paal Lein,
Aur Sachh Ho Jayain Saare Khawab Re,
Bus Yahi Ho Unaati Ka Geet Re,
Bus Yahi Ho Unaati Ka Geet Re……  

Surya Prakash Arya

(This Hindi Poem is telling us about what development should be for all of us)

No comments:

Post a Comment