Tuesday, December 30, 2014

Stree Shakti…


Stree Shakti Ka Hain Pramann,
Adhi Duniya Ka Hain Sopaan,
Jo Samaj Gaye Hain Iska Maan,           
Wo De Rahe Hain Isko Samaan…

Wo Srot Hain Shanti Samridhi Aur Sthaitva Ki,
Aur Dikha Rahi Hain Apna Rang, Har Jang,
Karya Ullekhaniya Usne Har Jagah Kiye Hain,            
Manta Hain Vishva Patal Mein Har Varg, Har Insaan…

Kaun Kehta Hain Wo Kathputli Hain,
Khud Leti Hain Faisle Wo Apne,
Sun Kar Jis Ko Kabhi Kabhar,  
Danto Tale Daba Lete Hain Ungli Hum Samaan…

Sach Hain Kathinaiya Jheli Hain Unhoane,
Tabhi Toh Nikli Hain Kuchh Unhi Main,
Mat Bhulo Uss Jhansi Ki Rani Ko,       
Aur Yaad Karo Nehru Ki Priyadarshani Ko…

Saari Badaon Ko Unke Aage Dala,
Safalta Se Unhone Ussey Hata Dala,
Ashika Ke Gehri Surang Ko Paar Kar,
Sunita Williams Ne Akash Chir Dala…

Wo Abhinetri Bhi Hain, Aur Netri Bhi,
Aur Shikshika Rupi Saraswati Bhi,
Dhan Ke Roop Main Laxmi Ghar Main Virajmaan Hain,        
Aur Durga Roop Main Shakti Har Jagah Vyapt Hain…

Wo Maa Ka Roop Mahan Hain,
Wo Bahan Ban Musibataon Par Pahad Hain,
Wo Unnchi Chu Kar Naam Roshan Kar Rahi Hain,    
Stree Ghar Ghar Ke Liye Vardaan Hain…
Stree Ghar Ghar Ke Liye Vardaan Hain…

Surya Prakash Arya
sparya_in@yahoo.com

(This Hindi Poem is dedicated to topic of ‘Womanhood’. Our country India, we use to call India as Bharat Maa. Women are creating name in every sphere of life. Through this Hindi Poem, I am just glorifying there power, knowledge, determination etc.).

Thursday, December 25, 2014

Tum Pathar Ho!


Suna Tha Tum Pahad Ho,
Suna Tha Tum Pathar Ho,
Aur Jab Pehle Pahal Tum Ko Dekha,
Socha Sach Hi Suna Tha,
Bhai Tumhare Baare Mein,
Ki Tum Pahad Ho, Tum Pathar Ho…
Ki Tum Pahad Ho, Tum Pathar Ho…

Tum Ko Dekh Kar,
Ek Kaya Aisi Bani Mann Mein,
Ki Kitne Nirjeev Se Tum Khade Ho,
Aur Haryaali Si Chaii Hain,
Bus Achal Mein Tumhare…

Bade Hi Gaur Se Tum Ko Dekh Raha Tha,
Bhavo Ko Tumhare Mein Padh Raha Tha,
Subah Se Shayam Ho Chali Thi,
Tumhari Surat E Rang Pal Pal,
Bus Keval Badal Rahi Thi…

Main Soch Raha Tha,
Kya Jo Suna Tha Tumhare Bare Main,
Matr Keval Jooth Tha,
Ek Din Tak Tak Tumko Dekh,
Main Bahut Hi Bhav Vibhor Tha…

Agle Din Phir Tum Se Mulakat Ki,
Badalon Ki Parchayiyon Main,
Meine Tum Se Baat Ki,
Tumne Haryali Anchal Ko Hila,
Mera Satkar Kiya,
Sabh Kuchh Bhul Baitha Main,
Makhmali Si Godh Mein Tere,
Kuchh Pal Aaram Kiya…

Aaj Teri Kaya Ka,
Ek Naya Roop Meine Dekha,
Badalon Se Chanti Doop Se,
Ithalate Huye Tum Ko Dekha,
Bada Hi Manmohak Sa,
Tevar Tera Aaj Meine Dekha…

Shayam Hote Hi,
Meine Tujh Se Vida Li,
Aur Pakdandi Ko Pakad Kar,
Meine Apni Raha Li,
Jate Huye Mudh Kar Jaise Hi Tujh Ko Dekha,
Tujhe Tere Jangli Bachaon Se,
Khelte Huye Meine Dekha…

Uss Andhere Main,
Tere Jangli Bachaon Ka Kolahal Tha,
Aur Teri Maa Roopi Swabhav Ka,
Ek Naya Roop Mere Aage Tha,
Aur Mein Bina Rukhe,
Ek Kadamtaal Karte Huye,
Apne Ghar Ko Chal Padh Tha…

Abh Teri Nirjeev Kahi Kaya,
Mujhe Apne Aur Khinchh Rahi Thi,
Phir Naye Din Main Mujhe,
Apni Aor Khinchh Rahi Thi,
Apni Potli Baandh Mein,
Phir Chal Diya Teri Aor,
Ek Naye Raste Par Ek Nayi Aor…

Pahauch Kar Ek Nayi Aor,
Aashcharyachakit Main Rah Gaya,
Tere Yahan Naye Roop Ko,
Dekhkar Dang Main Reh Gaya,
Khadi Deewar Sa Tu,
Sacch Mein Nirjeev Dekh Raha Tha,
Aur Dikh Rahe They Sirf Pathar Hi,
Aur Keval Pathar Hi, Tere Waksh Par…

Phir Subah Se Shayam,
Dekhta Raha Uss Tere Roop Ko,
Tanik Si Bhi Jo Nahin Badal Rahi Thi,
Apne Uss Vikral Roop Ko,
Bade Hi Bhaari Hriday Se Mein,
Wapas Apne Ghar Ko Chal Diya,
Aur Raat Ki Tanhaiyon Mein,
Chand Ki Dudhiya Roshni Mein,
Teri Hi Toh Chamak Bus Zuda Thi…

Phir Agle Din,
Bade Hi Vichlit Mann Se,
Mein Teri Aor Daud Padha,
Ek Naye Raste Se Tere Pass Pahauch,
Mein Hairann Hi Bus Reh Gaya,
Yahan Par Teri Ek Nayi Hi Kaya Saakshaat Thi,
Aathkheliyan Karte Ek Jal Ki Dhara Thi,
Jo Upper Sikudi, Aur Neeche Vistrit Thi…

Jath Jaa Kar,
Jase Hi Meine Ussey Chuaa,
Yakayak Hi Kafoor Ho Gayi Thi,
Mere Andar Ki Thakhavat,
Sforti Si Nayi Bhar Gayi,
Mere Andar Ek,
Aur Jeevat Ho Gayi,
Ek Aur Nayi Nirmal Kaya…

Suna Tha Tum Pahad Ho,
Suna Tha Tum Pathar Ho,
Aur Jab Pehle Pahal Tum Ko Dekha,
Aur Phir Agle Kuchh Din Aur Tum Ko Dekha,
Toh Maan Gaya Bhai Main Iss Baat Ko,
Ki Theek Hain, Tum Pahad Ho…
Ki Theek Hain, Tum Pathar Ho…
Par Tum Nirjeev Nahi Ho…
Tum Toh Meri Hi Bhanti Ho…
Tumhare Bhi Roop Hain…
Tumhari Bhi Bhavnayane Hain…
Tum Toh Meri Hi Bhanti Ho…
Tumhare Bhi Roop Hain…
Tumhari Bhi Bhavnayane Hain…

By-Surya Prakash Arya

(This Hindi Poem is describing about beautiful and enticing “Mountains” of Uttarakhand. Uttarakhand is famous for its hills. Some covered with stones, some with trees, some with shrubs and some with snow. Through this Hindi poem, I am trying to tell that just like these mountains, we human being to have many facets and we need to look beyond to see those facets).

Monday, September 15, 2014

Yug Ka Anth….



Aap Ke Yahan Se Chale Jaate Hi,
Ek Yug Ka Anth Ho Gaya Hain,
Aapko Hi Bus Yaad Karke,
Dil Main Ek Sailab Utta Hain…

Samanantar Khadi Aapki Parchayi,
Jane Kahan Ghum Gayi Hain,
Vyakulta Se Ussey Dhundhata,
Khamoshi Mein Main Tadaphta….

Yug Ka Anth Archaryachakit Tha,
Phirbhi Jis Muhane Par Aap Khade They,
Wahan Dard, Aahh, Kashta Bada Tha,
Par Aapka Sanidhya Hi Bahut Tha….

Aapki Abha Ki Chatrachaya Main,
Ghar Mein Suraksha Ka Ehsas Tha,
Sabhko Aap Ke Jaane Ka Gham Hain,
Aur Iss Baat Ka Hain Bada Malaal….

Achanak Hi Kuchh Batein Yaad Aati,
Kuchh Toh Hansa Kar Chali Jaati,
Kuchh Ankhaon Ko Nam Kar Jati,
Par Aate Jate Dil Main Shor Machati….

Kuchh Bataon Ko Soch Kar Mein,
Main Bhawuk Aksar Ho Jata Hun,
Asakhyan Liye Kadamtalon Ko,
Aapko Yaad Kar Arpit Karta Hun….

Vyakt Karke Main Apne Zajbaat,
Hatana Chahata Hun Khamoshi Ki Deewar,
Par Phir Yeh Soch Yeh Chup Ho Jata,
Samaj Hi Gaye Honge Aap Isht Ban Kar….

Mujh Nasamajh Ko Kuchh Cheezon Ka,
Badi Der Ke Baad Abhaas Huaa,
Jab Aap Ko Apne Se Maine Itna Dur Paya,
Aur Duri Bhi Aisi Jise Main Na Mita Paya….
Aur Duri Bhi Aisi Jise Main Na Mita Paya….

Tab Jake Main Keh Raha Hun,
Ek Yug Ka Anth Ho Gaya Hain,
Hath Jodkar Main Apne Isht Se,
Yug Ke Anth Ko Shradhanjali De Raha Hun….
Yug Ke Anth Ko Shradhanjali De Raha Hun….

By-Surya Prakash Arya


(This Hindi Poem is a heartfelt tribute to the sudden death of my father Shri Ganga Prasad Arya at 7.30 am on 12.01.2014. Me and my family member are mourning the death of my beloved father, whose death has created an emptiness in our life and life is looking very uphill as of now. We pray from Almighty “Maa Bhagwati” and “Golu Devta” to give peace to the departed soul of my father and he shall have a wonderful, peaceful life in his next inning. We all love you and remember you, wherever you are. At this period of Shrad in 2014, I am dedicating this Hindi Poem to my father).

Sunday, June 29, 2014

Chintay Kyon Satati Hain…



Bhavishya Ko Kuchh Zyada Soch,
Mann Mera Kuchh Ghabraye,
Tanik Sa Bhi Bhram Ko Bhamp,          
Chintay Mujhe Sataye…

Aksar Raat Ko Neend Tuthti,
Batein Mere Saar Mein Ghumti,
Soch Ke Sagar Mein Dubh Jata,           
Yuhi Bus Subah Ho Jati…

Sannate Mein Shor Macha Tha,
Sun Kar Jisko Hosh Kahan Tha,
Batein Apne Jaal Bun Kar,       
Dhuk Dhuk Dil Ko Dara Rahi Thi…

Dil Mein Jo Dabi Baat Thi,
Woh Mithya Nahin, Sach Baat Thi,
Kahan Pata Tha Logon Ko Woh,          
Hansi Ke Peeche Bus Ahh Thi…

Mere Sangarsh Mere Tak Hi Hain,
Mere Zazbaat Andar Hi Hain,
Chehre Par Toh Hansi Dikhane Ki Hain,          
Kahan Hain Kushi! Phir Bhi Dikhna Ki Hain…

Bhavishya Ko Kuchh Zyada Soch,
Mann Mera Kuchh Ghabraye,
Tanik Sa Bhi Bhram Ko Bhamp,          
Chintay Mujhe Sataye…

Surya Prakash Arya
sparya_in@yahoo.com

(This Hindi Poem is dedicated to topic of ‘Worries’, which cause us intense pain at point in time. We thought a lot about future and because of which it leads us to a situation, which causes pain. Human nature is so vivid and wide that it is difficult to understand. Through this Hindi Poem, I am telling some of the very inner feeling experienced by me in recent time).

Sunday, May 18, 2014

Srankhala Maa – Maa



Karta Hun Pranam Tumhe Maa,
Karta Harpal Yaad Tumhe Maa,
Janta Hun Tum Yahan Nahi Ho,
Kaise Dil Ko Samjhaun Maa….

Apki Abha Ke Tej Se Maa,
Prakshit Tha Ghar Ka Har Kona,
Dhan Dhayn Se Vyapt Bhara Tha,
Ghar Bahar Ka Har Ek Kona….

Aaj Bhi Mujhe Yaad Hain Maa,
Ghod Mein Mujhe Baitha Kar Maa,
Bandari Begam Ki Kahani Sunate,
Tumhara Sabhke Liye Khana Bana Lena….

Tera Hamesha Wo Badhava Dena,
Ek Sfurti Si Andar Bhar Deta Tha,
Tedhey Medhe Raston Par Bhi,
Nayya Paar Laga Deta Tha….

Loriyon Main Pyar Basta Tha,
Sunkar Jisko Main Hansta Tha,
Haste Haste Teri Godh Mein,
Befikr Sa Mein So Padhta Tha….

Mere Uljhe Sawalaon Ko Tu,
Badi Asani Se Tu Sulja Deti Thi,
Meri He Bhasha Main Mujhko,
Naya Paath Tu Sikhla Deti Thi….

Teri Har Baat Ek Seekh Hoti Thi,
Sunne Mein Badi Jo Pyari Lagti Thi,
Unn Pyari Pyari Baaton Mein Tu,
Niptara Padhayi Ka Tu Kar Deti Thi….

Apne Kathin Jeevan Ka Saar Sunate,
Rundh Jata Tha Gala Tumhara,
Rongte Khade Ho Jaate They Hamare,
Kaise Sawara Tune Jeevan Sara?

Kahan Se Lati Ho Inti Urja?
Kaise Karti Tum Sabh Ko Prerit?
Adtuviya Hain Saahas Tumhara,
Nitdin Akash Jo Chuna Chahta….

Chatravriti Se Shiksha Puri Ki,
Garibi Ka Koi Gham Na Kiya,
Bandh Shadi Ki Dor Mein Tune,
Shiksha Kaise Puri Ki?

Apni Aarthiki Ko Bal Dene Ko,
Shiksha Ka Tune Sahara Liya,
Apne Kandho Par Tune Maa,
Ghar Ka Adha Bhar Liya….

Pati Ka Bhi Kitna Saath Diya,
Dheere Dheere Unka Udhhar Kiya,
Parchhai Si Bankar Tune Unki,
Har Gadhi Mein Saath Diya….  

Nirantar Tune Sidhiyan Chaddi,
Apne Liye Ek Mukaam Banaya,
Apni Pasando Ka Bhi Luft Uthate,
Jeevan Ko Bharpur Jiya….

Nirnaye Tere Samay Say Aage They,
Samajh Se Jo Sabh Ke Pare They,
Par Tune Badi Tatparta Se Unhe Nibhaya,
Apne Bachhon Ko Safalta Ka Paath Padhaya….

Dhanya Ho Tum Meri Maa,
Kyon Tum Chali Gayi Meri Maa,
Tumhe Main Bus Dhundta Hun,
Har Jagah Bus Dhundta Hun….

Karta Hun Pranam Tumhe Maa,
Karta Harpal Yaad Tumhe Maa,
Janta Hun Tum Yahan Nahi Ho,
Kaise Dil Ko Samjhaun Maa….


By-Surya Prakash Arya

(This Hindi Poem is a dedicated to my beloved mother Mrs. Nandi Devi Arya. Me and family members lost her on 18.11.2004 at 5.30 am. This Hindi poem is one of the part of ‘Srankhala Maa – Maa’. Ever since my mother has gone, her death has created emptiness in our life and life is still feels like uphill. We pray from Almighty “Maa Bhagwati” and “Golu Devta” to give peace to her and she shall have a wonderful, peaceful life in her next inning. We all love you and remember you, wherever you are).

Tuesday, May 6, 2014

Nav Varsh…



Nav Varsh Ki Bela Mein,
Prafful Hain Har Mann Kahin,
Koi Nai Abhilasha Ko Lekar,
Toh Koi Vadoon Ko Kar Kar…

Pichle Varsh Ko Vidai Dena,
Ek Alag Sa Ehsas Deta,
Har Din Ko Shann Shann Mein ,       
Vristit Sa Ek Darpan Deta…

Nav Varsh Ki Bela Mein,
Kuchh Log Sankalp Lete,
Aur Kuchh Log Toh Bus,      
Pal Pal Ko Je Bhar Ke Jete…

Thand Raataon Mein,
Aur Dundhli Savere Mein,
Oos Ki Bondein,        
Padhi Har Kandhn Mein…

Kuchh Pe Mausum Ki Angdhai,
Nemat Si Barsati,
Aur Kuchh Par Yahi Angdhai,          
Maut Ki Ban Ke Aati…

Filhaal Anandati Har Dil Kahe,
Nav Varsh Tu Khushhaal Rahe,
Sroth Jo Khul Jayein Aman Ke,        
Path Par Tu Harsho Ulhasit Rahe…

Gagan Kuchh Aise Chuaey,
Ki Sar Garv Se Unchey Rahe,
Uss Unchey Kadh Se Tum Hum,      
Zameen Se Khandit Kabhi Na Hoye…

Nav Varsh Ki Mangal Kamana,
Karein Hum Sabhi Ke Liye,
Sukhhad Urja Ka Sanchalan,
Prasarit Ho Sabh Tann Mann Mein …

Surya Prakash Arya

(This Hindi Poem is dedicated to New Year 2014, which is titled as ‘Nav Varsh’. We all make some kind of promises and resolution on New Year, which is a basic human nature. So, this Hindi Poem is talking about positivity and energy).

Sunday, May 4, 2014

Chunaavi Ghamasaan



 Jise Bhi Dekho Satta Ko Paane Mein Laga Hain,
Taabadtodh Raliyan Ko Karne Mein Laga Hain,
Kahin AK, Kahin NAMO, Toh Kahin RAGA Ka Bigul Bajaa Hain,
Chunaanvi Mausam Mein Chunaavi Ghamasaan Chhidda Hain…

Gharon Ke Uppar Kisi Na Kisi Party Ka Jhanda Hain,
Maang Tika Bhi Chunaav Ki Siyasat Ka Hissa Hain,
Topi Pahna Kar Na Jaane Party Wale Bhi,
Na Jaane Kya Kya Janta Ko Topi Pehna Rahe Hain,
Inn Sabhi Bataon Ko Dekh Kar Aisa Lag Raha Hain,
Chunaanvi Mausam Har Kisi Ko Chunaavi Bhukhar Chada Hain…

Har Gali Har Nukkad Partyion Ki Pataka Se Atte Pade Hain,
Loudspeakaron Ke Shor Se Kaan Ke Parde Phat Padhein Hain,
Dala Motorcycleon Mein Partyion Ka Hujum Daud Raha Hain,
Logon Ko Behla Phuslakae, Patane Mein Laga,
Aisa Lagne Ne Laga Hain, Janta Ko Murkh Samajhne Laga Hain,
Chunaanvi Mausam Mein Har Kisi Ka Rang Badla Badla Hain…

Har Taraf Vayadon Ki Jadhi Laga Di Gayi Hain,
Sitaron Ki Bhi Toli Jagah Jagah Saja Di Gayi Hain,
Logon Ka Kya Hain Mauj Masti Ke Liye Ikhataa Ho Jaate Hain,
Hazaar Ki Kamaai Ek Rally Mein Kar Jaate Hain,
Iss Bheed Ko Hakikat Samaj Lena Badi Bhool Hogi,
Chunaanvi Mausam Mein Nabj Tatoll Ne Mein Hi Khairiyat Hogi…

TV Par Vigyapano Ki Bauchar Si Ho Rahi Hain,
Chunaavi Monsoon Mein TV Campaniya Malamal Ho Rahi Hain,
Prime Time Ke 10 Second Ho Gaye Hain Bade Hi Mehnge,
Aur Partiyon Par Chal Rahe Hain Election Commission Ke Dande,
Dande Khane Ki Toh Adaat Hi Purani Hain Hamari,
Kanjoosi Se Kaun Jeet Pata Hain Election Ki Bimaari…

Partiyon Ne Bhi Netaon Ke Numbering Kar Di Hain,
Aur Kahin Kahin Toh Zilewaar Unki Setting Kar Di Hain,
Lal Hare Kesariya Nile Rongo Ke Hisaab Se Candidato Ko Chuna Hain,
Aur Kahin Par Do Candidato Ko Vote Katne Ko Khada Kiya Hain,
Badi Hi Gazab Ki Tarkibe Hathkande Apnati Hain Partiyan,
Kaudhi Ko Bhul Noteon Ki Banayi, Pehnayi Jati Hain Mala…    

Jise Bhi Dekho Satta Ko Paane Mein Laga Hain,
Taabadtodh Raliyan Ko Karne Mein Laga Hain,
Kahin AK, Kahin NAMO, Toh Kahin RAGA Ka Bigul Bajaa Hain,
Chunaanvi Mausam Mein Chunaavi Ghamasaan Chhidda Hain…

By-Surya Prakash Arya

(This Hindi Poem is describing about “Election 2014 in India”. This time Election process in India is spreading over 35 days in 9 Phases starting from 7th April, 2014 to 12th May, 2014. Views are personal and not against anybody).

Wednesday, April 30, 2014

Vanshvaad



 ‘Gupta Ji’ Ne “Gupta Ji” Ko Kaha ,Gupta Ji, Ko Bulwaoo..
‘Gupta Ji’ Sunn Ke “Gupta Ji” Bole ,Gupta Ji, Se Chai Toh Mangwaoo..
Bhadke ‘Gupta Ji’, “Gupta Ji” Pe, Kaha Pehle ,Gupta Ji, Ko Bulwaoo..
‘Gupta Ji’ Bole, “Gupta Ji” Se, Varna ,Gupta Ji, Ka Kaam Na Hoga..
Kya Kare “Gupta Ji”, Sunake ‘Gupta Ji’ Ki, ,Gupta Ji, Swayam Padhare..
,Gupta Ji, Ne, Andar Aake “Gupta Ji” Dwara, ‘Gupta Ji’ Ko Haar Jo Pehenwaya..
‘Gupta Ji’ Khush Ho Gaye, “Gupta Ji” Dwara Pehnai, ,Gupta Ji, Ki Maala..
Abh Toh ‘Gupta Ji’ Ke Tahake, Sang Mein “Gupta Ji” Ke, Sunn Ke ,Gupta Ji, Ki Baatein..
Sabh ‘Gupta Ji’, “Gupta Ji”, ,Gupta Ji. Kar Rahe They Bhai Biraadari Ki Baatein..

By-Surya Prakash Arya

(This Hindi Poem is describing about “Vasnhvaad” or Nepotism. India has many faces and nepotism or vanshvaad is also seen widely in Indian society in one form or other. Here, I am talking about three different Gupta Ji’s. First Gupta Ji is distinguished by single quote, ‘Gupta Ji’. Second Gupta Ji is distinguished by double quote “Gupta Ji”. Third Gupta Ji is distinguished by Comma, ,Gupta Ji,. Hope you would like this Hindi Poem. Also, this not target against anybody or community but a piece of humor dedicated for all).

Thursday, March 20, 2014

Badlaav



Kya Kabhi Socha Hain Tumne Ki Badlaav Kyon Aaya?
Nahin Na, Bolo Na, Nahin Na, Chup Kyon Ho? Bolo Na!
Koi Baat Nahin Gar Tu, Nahin Samaj Pa Raha Issey Abhi,
Badlaav Ko Apne Agosh Mein Le Aur Laga Tu Gothe…

Shuruvaat Kahan Se Huyi, Zara Soch Ke Toh Dekho,
Ghanchakkar Sa Sirr Ghumegha Tera Yeh, Soch Ke Toh Dekho,
Dagamagayega Tu Ho Sakta Hain, Zara Chal Ke Toh Dekho,
Iss Pal Mein Kuchh, Uss Pal Mein Kuchh, Beet Jayegi Parso…

Kitni Hai Tauba Machi Thi, Jab Suna Tha Badlaav Ke Baare Mein,
Jujata Sawalon Ke Gereon Mein, Path Se Bhatak Raha Tha Tu,
Ashruon Ki Daariya Ka Ek Ufaan Sa Utha Tere Andar, Bus Andar,
Taras Tapad Raha Tu, Aur Badlaav Ke Sapne Se Vichlit Tha Tu…

Badlaav Ke Prarumbhik Padhav Bade He Kathin They,
Har Disha Nayi Si Lag Rahi Thi, Aur Fiza Bhi Ajnabi Lag Rahi Thi,
Khud Ko Khud Mein Samet Kar, Shabh Tere Guhm Ho Chale They,
Agal Bagal Ke Sabh Tujh Ko Keval, Bus Hairon Se Kar Rahe They…

Shaney Shaney Badlati Paristhiyon Mein Ujala Dikha,
Kuchh Naye Logon Ne Tera Haath Kans Ke Sameta,
Uss Judhav Se Tere Andar Ek Nayi Urja Gatimaan Huyi,
Badlaav Ki Iss Bela Ne, Teri Nayi Soch Ko Abaad Kiya…

Himmat Toh Jutani Padi Thi Kafi Unn Shanoo Mein,
Par Yeh Toh Thoda Bahut Karna Hi Padhta Hain Badlate Masum Mein,
Vastraon Ko Mota Patla Karna Hi, Mausam Ka Hisaab Hain,
Aur Iss Hisaab Ko Laga Pana Hi Ek Khoobsurat Badlaav Hain…

Ek Sukhad Raste Par Chal Padhe Uss Badlaav Ke Baad,
Jahan Par Har Gali Nukkad Main Hain Kai Prakar Ki Dukaan,
Dukano Mein Mol Bhav Karna Bana Dega Tujh Ko Asli Insaan,
Makkaron Se Bach Kar Rehna, Nahi Nanga Bana Dega Tujh Ko Insaan…

Toh Gar Tere Aage Yadi Yeh Sthithi Dohraati Hain,
Mat Gabhrana Uss Sthithi Se, Jo Tere Pass Chali Aati Hain,
Zara Aage Peeche Upper Nechhe Gaur Se Dekhna Tu,
Aur Honsla Bandh Ke Tu, Aage Bus Chal Padhna…

Swachandd Akash Mein Tu Uddne Ko Pankh Faila,
Nirbhik Hokar Tu, Ankhon Ko Khol, Acche Se Dekh,
Gehri Saans Ko Andar Lekar Garvit Mahsus Kar,
Badlaav Ke Shano Ko Tu, Mahsus Kar, Aur Aagey Badh…

Kya Kabhi Socha Hain Tumne Ki Badlaav Kyon Aaya?
Nahin Na, Bolo Na, Nahin Na, Chup Kyon Ho? Bolo Na!
Koi Baat Nahin Gar Tu, Nahin Samaj Pa Raha Issey Abhi,
Badlaav Ko Apne Agosh Mein Le Aur Laga Tu Gothe…

By-Surya Prakash Arya

(This Hindi Poem is describing about “Badlaav” or Changes. It is often said that change is the only constant in world, so as a person you have to move on in life accepting all the changes happening around you. This is going to make you a perfect person. This idea of change got reflected in my mind as I was watching Hindi Movie “Taare Zameen Par” of Aamir Khan. Through this Hindi Poem of mine I am trying to pour out my feelings for change).