Thursday, January 9, 2014

Bhaktimaya


Bhaktimaya Ho Gaya Jag Sara,
Bhagwan Bus Tera Hi Roop,
Aur Teri Hi Kaya…

Sansar Mein Tere Roop Anek,
Koi Kahe Tujhe Ram,
Toh Rahim Koi Tujhe Kahe…

Deen Dukhiyon Ki Bhi Bus,
Keval Tu Hi Sunta,
Aur Unka Dukh Harta…

Tu Kuchh Aisa Nirakar,
Jiski Jaisi Bhakti Hoti,
Tu Vaise Hota Saakar…

Vivashta Mein Bus Tera He Sahara,
Naam Jap Ke Jo Tujhe Pukara,
Raha Dekha Deta Sab Jag Sara…

Teri Leela Apram Paar Hain,
Teri Hi Jai Jaikaar Hain…
Teri Hi Jai Jaikaar Hain…

By-Surya Prakash Arya
Sparya_in@yahoo.com

(This Hindi Poem is dedicated to God. We all may like to call him Bhagwan, Allah, Jesus or Waheguru, but in either of these ways he endow his blessing on all human-beings).

Sapne

Jo Tu Dekh Raha Hain Sapne,
Wahin Toh Hain Tere Apne,
Aaj Tu Sapna Dekh,
Aur Bana Saakar Tu Usey Apne…

Kuchh Kahenge Kori Kalpana Hain,
To Kuchh Ke Pare Honge Woh Khawab,
Par Tu Na Hoae Bramit Zara Sa,
Sun Ke Unn Bataon Ko Jaan…

Yaad Rakh Jo Tu Dekh Sapne Raha Hain Aaj,
Wahi Tere Path Ko Karenge Kal Sajaag,
Unhi Kuchh Sajag Bataon Mein,
Dundega Jeevan Path Par Tu Saalam…

Dang Se Soch Apne Sapne Ko Tu,
Ek Ek Baataon Ko Kar Yaad,
Har Ek Pehlu Ko Tu Taul Ke,
Bana Ek Adbuth Sa Pravah…
Bana Ek Adbuth Sa Pravah…

By-Surya Prakash Arya
Sparya_in@yahoo.com

(This Hindi Poem is describing about “Sapne” or Dreams. It is giving you an insight that dreaming has got its own importance, and what you need to focus on that, make a roadmap and move ahead come what).

Bhav Bhangima

Iss Chanchal Si Bhav Bhangima Par,
Na Jane Kitno Ka Dil Aaya,
Kisi Ne Tere Aage Sar Jhukaya,
Toh Kisi Ne Apna Dil Jalaya…

Bhoori Si Ankhon Ki Teri Putli,
Kya Kya Kamaal Dikhati Hain,
Kitno Ki Na Jane Yaaron,
Saans Si Atak Jati Hain…

Rup Range Ke Toh Tere,
Hazaron Deewane Hain,
Gali Mein Tere Tabhi Toh,
Bazaron Ke Khane Hain…

Tera Bus Ghar Ke Jharokhe Se,
Jhankhana Bhi Kya Khub Hain,
Gali Mein Jo Shor Sa Machta,
Pura Shahr Bus Mohalle Mein Hota…

Iss Chanchal Si Bhav Bhangima Ke,
Deewane Bhi Bahut Khub Hain,
Iss Chancal Si Bhav Bhangima Ke,
Mastane Bhi Kya Khub Hain…
Mastane Bhi Kya Khub Hain…

By-Surya Prakash Arya
Sparya_in@yahoo.com

(This Hindi Poem is describing about “Bhav Bhangima” or facial expressions).