Wednesday, January 30, 2013

Lucknow, Mein Bada Mashhoor Hun,




Sadbhav Ka Shahar Hun,
Lucknow, Mein Bada Mashhoor Hun,
Awadh Ki Mein Shann Hun,
Aur Bharat Ka Swabhimaan Hun,

Meri Tameez Ke Charche Hain Aam,
Ganga Jamuni Ki Tehzeeb Kya Kamaal,
Bhatkhande Kathak Ka Kya Kehna,
Laajawaab Hain Yahan Khan Paan,

Chikankaari Ka Yahan Dastur Hain,
Ganjing Ka Bhi Yahan Suroor Hain,
‘Pehle Aap’ Ka Chalan Bhi Khoob Hain,
Charbagh Toh Jag Mashhoor Hain,

Bhulbhulaiya Roomi Darwaza,
Aur Tang Galiyon Mein Aminabad Hain,
Shahar Hain Yeh Nawabaon Ka,
Gomti Nadi Ke Kinaro Ka,

Urdu Zubaan Ka Kya Hain Kehna,
Bhojpuri Bhi Iska Gehna,
Khadi Boli Bhi Boli Jaati,
Chalan Bhi Yahan Hain Hinglish Ka,

Awadh Ki Mein Shann Hun,
Aur Bharat Ka Swabhimaan Hun,
Lucknow, Mein Bada Mashhoor Hun…

Surya Prakash Arya
sparya_in@yahoo.com
(This Hindi Poem is dedicated to my beloved city “Lucknow”. Lucknow is the Capital City of Uttar Pradesh, India's most populous state famous for it's 'Tameez' and 'Tehzeeb')