Wednesday, July 31, 2013

Himalayan Tsunami



Har Taraf Vinaash Ki Leela,
Jise Dekh Ke Har Koi Bola,
Bum Bum Bole Kedar Baba,
Kyon Hain Tu, Akroshit Re?

Kedar Mein Tere Vaas Main,
Mandakini Ne Kaisa Rodra Roop Dikhaya,
Samaj Mein Nahi Aayi Baba,
Teri Yeh Daravani, Mahamaya….

Nashtar Si Chubhti Baarish Ne,
Him Khando Ko Aisa Dehlaya,
Damru Ke Jaisi Dum Dum Ne,
Shilaon Ko Bhi Bona Banaya….

Bhayankar Ek Jal Pralay Aayi,
Jo Leel Gayi Bhakton Ki Jaan,
Har Taraf Kohram Macha Tha,
Idhar Udhar Bus, Mataam Pasra Tha….

Kuchh Jo Deen Bach Gaye They,
Vipaati Mein Jo Sabh Kho Chuke They,
Par Wo Bhi Teri Vinaash Leela Mein,
Thak Ke Nishprann, Ho Chale They….

Unn Kuchh Bache Durdino Ne,
Kahin Parbat Pe Damm Tha Toda,
Aur Kuchh Tere Bhakta Jano Ne,
Bhuk Pyas Se Damm Tha Toda….

Jab Tandaav Tera Kuchh Shaant Hua,
Tabh Manavta Ne Tujhko Pranaam Kiya,
Jaise Taise Rahat Pahuchayi,
Aur Bache Kucho Ne, Tera Gungaan Kiya….

Par Tantra Ke Viphalta Ne Bhi,
Ek Gehra Sa Nasoor Diya,
Apno Ko Dhundhte Bhilakte Logon Ne,
Kadave Anubhavo Ko Prasarit Kiya….

Matha Aisa Bhanna Ke Bola,
Kiski Galti, Kaun Bhugatta?
Rajneeti Kabhi Toh Chodo,
Abhi Toh Karlo Sachi Janseva….


Janseva Mein Meva Na Dekho,
Iss Vikat Trasadi Mein,
Ek Juth Sabh Ho Lo,
Jo Ho Sakta Hain Karlo Karlo….

Kudrat Ki Iss Krur Leela Ne,
Kitno Ka Kya Kya Tha Loota,
Aur Marghat Ke Sannate Ko,
Kar Krandan Ke Cheekk Ne Kachota….

Himalayan Tsunami Ka Jab Drishya Dekha,
Lashon Ke They Dher Ko Dekha,
Marnashan Aur Bhilakte Logon Ko,
Apno Ke Liye Bhatakte Dekha….

Yun Haath Pe Haath Rakhkar, Mat Baith,
Jo Kar Sakta Hain Tu, Karke Baith,
Yeh Pralay Hain Tera, Ek Imtihaan,
Apne Ko To, Tu Khud Pehchan….

Haath Tera Jo Utta Madaad Ko,
Abh Isko Rakhiyo Tu Sambhaal,
Shann Shann Mein Thoda Thoda Hi,
Dukhiyaro Ko Degha, Abh Prann….
Shann Shann Mein Thoda Thoda Hi,
Dukhiyaro Ko Degha, Abh Prann….

  
By-Surya Prakash Arya
Dehra Dun
sparya_in@yahoo.com

This Hindi Poem is a small tribute for all those people who have died or lost their near and dear ones in “Himalayan Tsunami on 16th-17th June,2013 in Kedarnath, Badrinath, Chamoli, Uttarkashi, Pithoragarh, Tehri and other regions of Uttarakhand. May the soul of departed devotees (bhaktajans) “Rest in Peace”. – RIP.