Saturday, December 26, 2015

Kya Hua Hindostan - By Surya Prakash Arya

Friday, December 25, 2015

Kya Hua Hindostan


Kya Hua Hindostan, Ye Tujhe Kya Hua?
Kyon Tu Apni Syahi Se, Iss Kadar Badnaam Hua,
Teri Ye Ujul Fujul Harkatein, Teri Ye Napaak Koshishan,
Sirf Aur Sirf Tujhe, Ruswa Kar Rahi Hain,
Aur Tere Saaf Anchal Ko, Badnuma Kar Rahi Hain…


Kyon Bhul Raha Hain, Ki Tu Toh Vishal Hridayi Hain,
Aur Tere Bujang Bajuao Main Hi, Ekta Khadi Hain,
Kya Kya Tune Nahi Dekha Hain, Aur Saha Hain,
Par Aaj Kyon Tu Adhir Sa, Hairan Khada Hain,
Na Hone De Tu Durr, Iss Preme Adab Ko,
Tere Vishwas Pe Hi To, Loktantra Yahan Khada Hain…

Vividhta, Rang, Dharm, Karm, Bhasha, Sanskriti,
Yeh Sabh Tere Hi Rang Hain, Jise Dekh Log Dang Hain,
Yeh Sabh Logon Ki Soch, Se Pare Hain Hindostan,
Kya Nahin Dikh Raha Hain, Logon Ka Palayan,
Yuddh Mein Jirn Shirn Hote, Naye Purane Rashtron Ka Patan,
Main Nahin Chahta, Har Chotti Baat Par Shor Sharaba…

Matr Chunaav Jitne Ke Liye, Na Banto Samajh Ko,
Tum Kya Sochte Ho, Kya Nahin Dikh Raha Hain Mujhe,
Dhruvikaran Ka Khel, Aur Shanti Rakhne Ka Bhed,
Lekin Jo Mukh Se Bol Rahe Ho, Ussey Mann Se Bhi Karo,
Aur Yeh Main Tumhi Se Nahin, Sabh Se Keh Raha Hun,
Dekhna, Khel Khelte Khelte Kahin Derr Na Ho Jaye!
Dekhna, Khel Khelte Khelte Kahin Derr Na Ho Jaye!

Kya Hua Hindostan, Ye Tujhe Kya Hua?
Kyon Tu Apni Syahi Se, Iss Kadar Badnaam Hua,
Teri Ye Ujul Fujul Harkatein, Teri Ye Napaak Koshishan,
Sirf Aur Sirf Tujhe, Ruswa Kar Rahi Hain,
Aur Tere Saaf Anchal Ko, Badnuma Kar Rahi Hain…

By-Surya Prakash Arya

(This Hindi Poem describes the inner thought roams around in my mind about the recent state of affair in Indian Political System. This Hindi Poem speaks a lot about things happening in India these days. It is just a thought, but honestly I am looking forward to peace and brotherhood amongst people of this great democracy).