Sunday, November 13, 2016

Brashtachar Par Surgical Strike




Achanak Hi Pradhan Mantri Ne,
Desh Ko Sambodhit Kiya,
Brashtachar Par Surgical Strike Kar,
Brashtachariyon Ko Krodhitt Kiya...

Faisla Achanak Tha, Aur Kafi Bada Bhi Tha,
Lekin Socha Samjha Tha, Aur Uska Asar Bhi Vyapak Tha,
Isliye Lajzami Tha, Pareshaniyan Bhi Hongi Bahut,
Lekin Bhala Ho Jan Manaas Ka, Unhone Apna Dhairya Dhikhya,
Pradhan Mantri Ke Su-Vicharon Ko Apnaya...

Banko Ke Aage, Lambi Katarein Thi,
Log Hairan They, Pareshan They,
Kuchh Thoda Ladhkadhayan, Kuchh Thoda Ghabraye,
Lekin Kataron Main Aage Badh Kar, Apne Note Badalwaye,
Uff Ke Bavzudh, Sabhi Ne Faisle Ko Sarhaya...

Lekin Kuchh Vichitra Bhi Dekha,
Dekha, Ki Kataron Main Keval Admi Tha Aam,
Nahin Dikha Mujh Ko Kahin Bhi,
Note Ki Moti Gaddi Thamein, Wo Brashtachari Haram!
Kya Saanp Sungha Gaya, Ya Dharti Nigal Gayi?

Lekin Suna Zaroor, Ki Noteon Ki Gaddi Payi,
Kachron Ke Derh Main,
Aur Kai Jagah Bade Noteon Ki Katarane Mili,
Sadakon Ke Kinare, Band Boriyon Ke Derh Main,
Aisi Khabarein Suni Bhi Aur Dekhi Bhi...

Mitro, Bade Faisle Jab Bhi Liye Jatein Hain,
Thoda Kashta Toh Jhelna Padhta Hain,
Aur Samay Bhi Bada Balwaan Hain,
Jo Badi Badi Andhiyon Ko Bhi Jhel Jata Hain,
Aur Bade Darakhta Bhi Apne Saath Udha Le Jata Hain,
Par Gorr Karna, Chotte Pedh Hamesha,
Aisi Andhiyon Ke Baad Bhi,
Hamesha Bache Rehte!
Hamesha Bache Rehte!   

Toh, Bhale Hi, Achanak Hi, Pradhan Mantri Ne,
Desh Ko Sambodhit Kiya,
Aur, Brashtachar Par Surgical Strike Kar,
Brashtachariyon Ko Krodhitt Kiya,
Lekin Aap, Dhairya Rakhiye, Sabra Kariye,
Sabra Ka Phal Meetha Hi Hota Hain....
Sabra Ka Phal Meetha Hi Hota Hain....

By – Surya Prakash Arya “Uttarakhandi”

(This Hindi Poem of mine is all about the recent surgical strike on corruption and black money by the Hon’ble Prime Minister of India Shri Narendra Modi. This sudden action is applauded by every common man of India and this Hindi Poem of mine is a salute of mine to our Pradhan Mantri, People, Prajatantra and Patience.) 

Saturday, July 16, 2016

Raat Ki Haiwaniyat…




Raat Ki Haiwaniyat,
Dekhi Hain Maine,
Khamoshiyon Main,
Zindagi Jeene Ki Jang,
Dekhi Hain Maine…

Jo Balwaan Hain,
Uski Krurkta,
Aur Uski Ankhon Main,
Dil Ko Dehlane Wali,
Nagnata…

Chirr Rahi Thi,
Dil Ko Mere Burbus,
Wo Besharmi,
Wo Haiwaniyat,
Wo Attahas!!!

Jo Shikaar Tha,
Wo Mulayam Tha,
Wo Masoom Tha,
Lagaa Wo Bezuban Tha,
Par Wo Jeev Tha…

Raat Gayi,
Par Baat! Na Gayi,
Ussi Raaste Par,
Shor Ke Ek Jhund Ke Beech,
Wahi Jeev,
Jo Shikaar Tha,
Jo Mulayam Tha,
Jo Masoom Tha,
Abh Nirjeev Tha…
Abh Nirjeev Tha…

Antadhiyan Bahar,
Khoon Se Sarobaar,
Sar Kahin, Dadh Kahin,
Kharoncho Ke Nishan Har Kahin,
{Wahi Jeev,
Jo Shikaar Tha,
Jo Mulayam Tha,
Jo Masoom Tha,
Abh Nirjeev Tha…
Abh Nirjeev Tha…}-2

By – Surya Prakash Arya “Uttarakhandi”

(This Hindi Poem of mine is a description of recent feeling, I have gone through. I have seen, how life can be tough and testing in night hours. This is an incident, where a piglet but killed by stray dogs in the loneliness of night. This Hindi Poem is talking about that incident).

Saturday, May 7, 2016

Friends, Hi, I am Surya and I am from Dehra Dun, Uttarakhand, India. I am a Dehra Dun based Writer and Poet. Please support me by buy a copy of my debut novel in following link.
http://www.educreation.in/store/india-in-2107-notoriously-insane-surya.html

Love you all,

Surya

Buy Book India In 2107 A.D. - Notoriously Insane by Surya at Discount Rate

Buy Book India In 2107 A.D. - Notoriously Insane by Surya at Discount Rate

Thursday, March 3, 2016

Vicharon Ki Andhbhakti



Vicharon Ki Andhbhakti,
Ek Aisi Hain Bhakti,
Jiske Moh Jaal Main Phans Kar,
Duniya Mujhe Nahi Dikhti…

Andhbhakti Ka Dera Aisa,
Jo Karta Sada Andhera Aisa,
Na Dikhta Mujhko Satya Asatya,
Kyonki Main Bandh Leta, Vichar Ek…

Vichar, Ghatna, Vyakti, Vastu,
Mann Bus Jaate Pathar Roop,
Wahi Roop Hardum Bus Dikhta,
Suni Baatein, Sabh Sach Lagta…

Aise Hi, Satya Hota Koshon Durr,
Aur Ye Judhwa Darta Moh Ka Roop,
Yeh Moh Hi Toh Ghana Van Hain,
Jisme Hum Phans Jaate Hain…

Moh Bhagana Bada Kathin Hain,
Ye Karvata Galat Faisle,
Kali Kamayi Kamane Ko Bhi,
Ye Deta Bade Honsle…

Isliye, Buddhi Ko Tu Kar, Istemaal,
Moh Ke Bhram Ko, Kar Tu Paar,
Chotti Baatein, Chotti Dikhengi,
Aur Sachaai Hogi, Tere Pass…
Chotti Baatein, Chotti Dikhengi,
Aur Sachaai Hogi, Tere Pass…

Vicharon Ki Andhbhakti,
Na Karo Aisi Bhakti,
Iske Moh Jaal Main Na Phans Kar,
Duniya Banao Saaf Aur Saachi…
Iske Moh Jaal Main Na Phans Kar,
Duniya Banao Saaf Aur Saachi…

By – Surya Prakash Arya “Uttarakhandi”

(This Hindi Poem is sharing a very enlightened thought of pious book of “Geeta”. This hindi poem is telling us that we should not try to favour the truth. Because truth alone can help us to take a right decision and follow a clear path for leading a blissful life).

Friday, February 26, 2016

Gandhi Tere Desh Main…




Gandhi Tere Desh Main,
Ye Kaisa Shor Sharaba?
Jisko Bhi Yahan Dekho,
Sirf Apni Baat Chalata…

Iss Chalne Chalane Ke Chakkar Main,
Na Jane Kya Kya Kar Jata,
Haath Main Danda, Dil Main Bair,
Apno Ka Hi, Dil Main Jalata…

Kyonki Andar Mere Ek Aag Thi,
Wo Aag Aaj, Baahar Nikal Kar,
Apno Ko Hi Jala Rahi Hain,
Aur Deewar, Ek Bana Rahi…

Shayad Saalon Lage, Iss Deewar Ko,
Phir Se Humein Todhne Ko,
Lekin Galti Apni, Jo Maan Lo Tum,
Toh Shayad Mujhe Tasaalli Mile…

Gandhi Tere Desh Main,
Ye Kaisa Shor Sharaba?
Jisko Bhi Yahan Dekho,
Sirf Apni Baat Chalata…

By – Surya Prakash Arya “Uttarakhandi”

(This Hindi Poem of mine is touching my inner feeling for the recent “Jaat Agitation” in Haryana, India. This Hindi Poem is talking about India, inner strength of its people and its basic nature).

Kehna To Bahut Chahta Hun




Kehna To Bahut Chahta Hun, Par Chup Hun,
Ye Kamzori Nahin Meri, Kyonki Main Chup Hun,
Dekhna, Jis Din Bhi Main Bola, Tum Shant Ho Jaoge,
Aur Mere Bhavo Main Beh Kar,
Tum Sirf Aur Sirf Mere Ho Jaoge…

Itna Sunte Hi, Tumhare Dil Main, Khayal Aayega,
Jab Baat Sirf, Apna Hi Banane Ki Hain,
Toh Phir Tumhari Baat, Kyon Akeli Khadi,
Na Samjho Khud Ko Tanha Tum,
Tumhari Khamoshi Mujhe Bechainn Kare Hain…

Main Todha Hasa, Phir Tum Se Bola,
Kyonki Baat Mere Dil Ki Hain, Aur Iss Dil Main,
Todhi Hasi, Todhi Khushi, Todha Gussa, Aur Thodi Kadhwahat Hain,
Toh Agar, Tum Ye Sabh, Sun Samajh Sakte Ho,
Tabhi Tum Mujhe, Apna Samajh Sakte Ho…
Tabhi Tum Mujhe, Apna Samajh Sakte Ho…

Kehna To Bahut Chahta Hun, Par Chup Hun,
Ye Kamzori Nahin Meri, Kyonki Main Chup Hun,
Dekhna, Jis Din Bhi Main Bola, Tum Shant Ho Jaoge,
Aur Mere Bhavo Main Beh Kar,
Tum Sirf Aur Sirf Mere Ho Jaoge…
Tum Sirf Aur Sirf Mere Ho Jaoge…

By – Surya Prakash Arya “Uttarakhandi”

(This Hindi Poem of mine is telling you about, how understanding and liking other matters in life. This Hindi Poem says that if you really want to be mine, than you have to understand my each and every feeling be it my smile, my hate or my ill-feelings).

Sunday, January 31, 2016

Ek Chota Safar



Safar Tha Zara Chota,
Jise Pura Karne Main Nikla Thoda,
Kya Tha, Bus Apni Gadhi Uthayi,
Biwi Aur Bachhe Ke Sang,
Safar Ki Raha Thami…

Bus Kyonki Thoda Hi Dur, Jana Tha,
Isliye Plan Kya Banana Tha,
Raaste Pe Pakad Apni Thi,
Gadi Bhi Apni Thi,
Bus Sadak Par Chalti Dusri, Gadhi Apni Nahi Thi…

Kehte Hain Jab Bhagya Kharab, Hota Hain,
Toh Galat Samay Par Aap, Galat Jagah Hote Hain,
Mera Bhi Kuchh Yahi Haal Tha,
Uss Safar Main, Mein Galat Haath Tha,
Kyonki Chote Safar Aur Chota Kar Raha Tha…

Uss Short-Cut Main Zindagi Short Hote Hote Rah Gayi,
Biwi Aur Bachahe Ke Sang Saanse Meri Aatak Gayi,
Kyonki Dusri Gadhi Belagam Si Speed Main,
Meri Gadhi Se Bus Takrane Se Matra Ek Second Pehle,
Kuchh Zindagi Humein Aur Thodi Khud Le Gayi…

Kyonki Usne Thoda Cut Mara Aur Maine Break,
Aur Zindagi Phisalte Phisalte Uss Din Rah Gayi,
Maine Kiya Prabhu Ka Uss Din,
Mann Hi Mann Dhayawad,
Aur Kaha Teri Leela Hain Aparampaar…

Safar Wapsi Kar Thoda Main Chup Leta,
Apni Short Trip Aur Short-Cut Ke Baare Main Socha,
Kaun Galat Tha, Woh, Ya Main, Ya Samay,
Aur Jawab Andar Se Aaya, “Main”,
Kyonki Short-Cut Toh Meine Liya Tha…

Mujhe Kya Pata Agla Kin Haalaton Main Tha,
Sharab Main Dooba, Ya Chinta Ka Mara Tha,
Zindagi Bhi Toh Yahi Hain, Thoda Imtihaan Leti Hain,
Short-Cut Se Kuchh Nahi Milta, Ye Thoda Time Leti Hain,
Aur Ussi Time Main Tumhe Naya Aayam Deti Hain…

Zindagi Ko Jeena Bhi Ek Tap Hain, Sadhna Hain,
Har Baat Se Kuchh Sikha Hi Toh,
Ek Naye Adhayay Ka Judhna Hain,
Yehi Teri Kismat, Yehi Teri Taqdir Bana Rahe Hain,
Aane Wale Tere Safar Ka Ek Rasta Bana Rahe Hain…

Honsla Toh Tu Rakh Thoda Sa,
Dekhna Teri Zindagi Ki Kitaab Ko Pankh Lagne Waale Hain,
Kudrat Jo Tujhe Har Halaton Main Bacha Rahi Hain,
Uss Hansi Khwaab Ko Dekhe Tak,
Tu Safar Par Bus Chalta Chal…
Tu Safar Par Bus Chalta Chal…

By – Surya Prakash Arya “Uttarakhandi”

(This Hindi Poem of mine is about a short trip of mine from my house to a neighbouring place. Through this Hindi Poem of mine, I am sharing an incident which happened to me. It taught me many perspective of life, but in this Hindi Poem, I am sharing one of that perspective.)