Saturday, October 29, 2011

Aashcharya Hota Hain…..

Aashcharya Hota Hain,
Jab Choti Choti Si Baatein,
Kuchh Ajeeb Si Tees Deti Hain,
Aur Yaadon Ke Iss Bhanwar Mein,
Kuchh Yunhi Si Kasak, Rahti Hain…..

Zindagi Itni Kathin Si Lagti Hain,
Ki Mano Mein Hi Dukh Ka Mara Hun,
Aur Lagta Hain Mujh Ko Aisa,
Bhagwan, Kya Mein Hi Bus,
Iss Sansaar Mein Tere Prakop Ka Maara Hun,

Aur Yaadon Ke Iss Bhanwar Mein,
Kuchh Yunhi Si Kasak, Rahti Hain…..
Aashcharya Hota Hain,
Jab Choti Choti Si Baatein,
Kuchh Ajeeb Si Tees Deti Hain…..

Mein Toh Bus Thoda Bahut Chata Hun,
Thoda Dudh, Thodi Dahi, Thoda Gee,
Thoda Bhaat, Thodi Dal, Thoda Roti,
Thoda Saag, Thodi Kheer, Thoda Salad,
Aur Thoda Bus Aachar,
Jyada Nahi, Bus Yehi Din Mein Kuchh, Teen Baar,
Saal Ke Bus, Kuchh Teen Sau Peshat Baar,
Aur Bus Bharambar, Aur Bharambar,

Aur Yaadon Ke Iss Bhanwar Mein,
Kuchh Yunhi Si Kasak, Rahti Hain…..
Aashcharya Hota Hain,
Jab Choti Choti Si Baatein,
Kuchh Ajeeb Si Tees Deti Hain…..

Hey Bhagwan, Hey Bhagwan,
Trahimam, Trahimam,
Duniya Ko To Tune Bangla Diya,
Badi Motor Gadi Di, Heere Diye,
Aur Jwaharaat Diye,
Aur Mujh Chote Insaan Ko Tune,
Ek Kamre Ka Yeh Makaan Diya,
Teen Sone Ki Aunghuti,
Do Talu Ki Chain,
Aur Panch Taule Ka Mang Tika Diya,
Kaise Ho Gaya Hain Tu, Itna Nishthur,
Kya Dikhti Nahi Hain Meri Gharibi,

Aur Yaadon Ke Iss Bhanwar Mein,
Kuchh Yunhi Si Kasak, Rahti Hain…..
Aashcharya Hota Hain,
Jab Choti Choti Si Baatein,
Kuchh Ajeeb Si Tees Deti Hain…..

Belne Padhte Hain Kitne Papad,
Jab Ghumta Hun, Yun Mara Mara,
Mol Bhav Karte Karte Mein,
Bita Deta Hun Jeevan Saara,
Kyon Nahi Hain, Chamach Chandi Ki,
Mere Bhi Iss Chote Mukh Mein,
Kya Badala Hain Peechle, Janam Ka,
Ya Phal Hain Mera, Iss Janam Ke Paapon Ka,

Aashcharya Hota Hain,
Jab Choti Choti Si Baatein,
Kuchh Ajeeb Si Tees Deti Hain…..
Aur Yaadon Ke Iss Bhanwar Mein,
Kuchh Yunhi Si Kasak, Rahti Hain…..

Mehnat Karte Karte,
Ho Jata Hun Mein, Kuchh Yun Behaal,
Kamar Tuth Jaati Hain Meri,
Padh Jata Hun Shyam Ko Bistar Pe Nidhal,
Itna Thak Jata Hun Ki Mein,
Soch Bhi Nahi Pata,
Ki Kaise Karun Apni Zindagi Ka Uddhar,
Yeh Jeena Bhi Kya Koi Jeena Hain,
Jahan Samay Ka Pahiya,
Lagataar Ghum Raha Hain,
Aur Hamein Ghuma Raha Hain,

Aashcharya Hota Hain,
Jab Choti Choti Si Baatein,
Kuchh Ajeeb Si Tees Deti Hain…..
Aur Yaadon Ke Iss Bhanwar Mein,
Kuchh Yunhi Si Kasak, Rahti Hain…..

Yeh Sun Kar Bhagwan,
Sakhshat Prakat Huye,
Aur Bole Putr,
Yadi Tu Aashirwad Hi Chahta Hain,
Toh Aa, Saharsh Aa, Aur Mera Shthan Grhan Kar,
Aur Mujhe Iss Bhoj Se Mukt Kara,
Mein Bhi Hun Kuchh Tujh Sa Hi Pareshaan,
Aur Sona Chahta Hun Bistar Pe Nidhal,
Par Kambhakt, Apekshaon Ke Bhoj Se Mein,
So Bhi Nahi Pata Hun Do Pal,

Bhagwan Bole,
Aadhunikta Ke Iss Daur Mein,
Zindagi Ke Mayene Tu Bhul Gaya Hain,
Khud Ko Tu Kosh Raha Hain,
Aur Khud Ko Dusre Se Kyon Tol Raha Hain,
Tu Toh Bus Mehnat Kar Aur Mehnat Kar,
Sochi Samajhi Bus Disha Mein Chal,
Phir Dekh Din Kaise Bahurenge,
Par Tap Toh Tujh Ko Karna Hi Padega,
Shan Shan Se Tujh Ko Ladna Hi Padega,
Tabhi Samaj Payega Tu Yeh,
Zindagi Ke Yeh Anmol Kisse,
Zindagi Ke Yeh Anmol Kisse,

Aashcharya Hota Hain,
Jab Choti Choti Si Baatein,
Kuchh Ajeeb Si Tees Deti Hain…..
Aur Yaadon Ke Iss Bhanwar Mein,
Kuchh Yunhi Si Kasak, Rahti Hain…..

Surya Prakash Arya
Contact me: sparya_in@yahoo.com/91-94120-53135
Dehra Dun, Uttarakhand, India
Views are personal)

Description of the Poem:

When I see people cribbing all the time about hardship, difficulties and unhappiness in life and they usually get fad up and give up quite easily. However, I wanted to tell them through this Hindi Poem that, if we are striving for something special in life, we have to work hard to get whatever we want. Even praying to God alone will not going to give us everything, we have to fight for things we want with utter sincerity.


Check These Out:

www.globomela.blogspot.com
www.globoscreenplay.blogspot.com
www.globofaces.blogspot.com
www.globotips.blogspot.com
www.globogovt.blogspot.com
www.globofinance.blogspot.com
www.globotour.blogspot.com