Thursday, March 3, 2016

Vicharon Ki Andhbhakti



Vicharon Ki Andhbhakti,
Ek Aisi Hain Bhakti,
Jiske Moh Jaal Main Phans Kar,
Duniya Mujhe Nahi Dikhti…

Andhbhakti Ka Dera Aisa,
Jo Karta Sada Andhera Aisa,
Na Dikhta Mujhko Satya Asatya,
Kyonki Main Bandh Leta, Vichar Ek…

Vichar, Ghatna, Vyakti, Vastu,
Mann Bus Jaate Pathar Roop,
Wahi Roop Hardum Bus Dikhta,
Suni Baatein, Sabh Sach Lagta…

Aise Hi, Satya Hota Koshon Durr,
Aur Ye Judhwa Darta Moh Ka Roop,
Yeh Moh Hi Toh Ghana Van Hain,
Jisme Hum Phans Jaate Hain…

Moh Bhagana Bada Kathin Hain,
Ye Karvata Galat Faisle,
Kali Kamayi Kamane Ko Bhi,
Ye Deta Bade Honsle…

Isliye, Buddhi Ko Tu Kar, Istemaal,
Moh Ke Bhram Ko, Kar Tu Paar,
Chotti Baatein, Chotti Dikhengi,
Aur Sachaai Hogi, Tere Pass…
Chotti Baatein, Chotti Dikhengi,
Aur Sachaai Hogi, Tere Pass…

Vicharon Ki Andhbhakti,
Na Karo Aisi Bhakti,
Iske Moh Jaal Main Na Phans Kar,
Duniya Banao Saaf Aur Saachi…
Iske Moh Jaal Main Na Phans Kar,
Duniya Banao Saaf Aur Saachi…

By – Surya Prakash Arya “Uttarakhandi”

(This Hindi Poem is sharing a very enlightened thought of pious book of “Geeta”. This hindi poem is telling us that we should not try to favour the truth. Because truth alone can help us to take a right decision and follow a clear path for leading a blissful life).