Tuesday, December 31, 2013

Savera…

Chidhiyon Ki Chachaahat Se,
Neend Khuli Thi Meri,
Pardo Se Chann Chann Kar,
Dhoop Khili Thi Kam Kam…

Parde Ko Kinare Kar,
Jaise Hi Dekha Baahar,
Swarnim Akash Mein,
Suraj Ki Lalima Thi Chanchal…

Pakshki Akash Mein,
Ghote Aise Laga Rahe The,
Mano Wahi Iss Sunhere,
Savere Ke Samraath/Darshak The…

Jaise Hi Dhoop Ne,
Mujhe Kuchh Chua,
Barbas Sa Ek Anmol,
Ehsas Mujhe Kuchh Hua…

Bahoan Ko Faila,
Chaatti Ko Chauda Kar,
Shudh Hawa Ko Maine,
Apne Ander Mehsus Kiya…

Khidki Ke Ander Aati,
Dhoop Mein Dhul Ke Kadn,
Jhilmil Se Chamak Rahe The,
Apne Hone Ka Ehsas Kara Rahe The…

Ek Adbhut Si Sukoon Deti Hain,
Savere Ki Gunguni Dhoop,
Navchetna Ka Ehsas Sa Deti,
Savere Ki Manbhavani Doop…

Savere Ki Roshni Se,
Mann Pulkit Sa Ho Jata,
Dheere Dheere Hi Sahi,
Tann Mann Srajit Ho Jaata…

Surya Prakash Arya
sparya_in@yahoo.com

(This Hindi Poem is dedicated to topic of ‘Savera’ means ‘Morning’, which tells us how blissful is the morning for all of us).

No comments:

Post a Comment