Monday, February 18, 2013

Udaan…



Kalpana Ki Udaan,
Bhari Hain Meine,
Saaf Neele Aakash Mein,
Chandrama Ki Parchaii,
Dekhi Hain Meine,
Pakshiyon Ko Duur Gagan Mein,
Udaan Bharte Dekha Hain Meine,
Har Din Jhund Mein,
Tinke Tinke Ke Liye Bhi Usey,
Bhatakte Dekha Hain Meine,
Par Bhatak Ke Thakte Huey,
Nahi Dekha Hain Usey Meine…

Suraj Ki Tapish,
Mahsoos Kari Hain Meine,
Uss Tapish Mein,
Pedon Ko Saans Lete,
Dekha Hain Meine,
Ussi Tapish Mein,
Kathor Tap Karte Manushya Ko Bhi,
Dekha Hain Meine,
Tap Ke Baad,
Agyaan Se Gyaan Ke Paath Par,
Chalte Bhi Manushya Ko Dekha Hain Meine…

Sitaron Ki Timtimahat,
Dekhi Hain Meine,
Kuchh Ko Safad,
Kuchh Ko Laal,
Hote Dekha Hain Meine,
Kuchh Puchhal Taare Bhi,
Dekhein Hain Meine,
Kuchh Taraon Ko,
Tuth Te Bhi Dekha Hain Meine,
Aur Kuchh Naye Sitaron Ko,
Bante Bhi Meine Dekha Hain…

‘Kuchh’ Ko Kori,
Kalpana Ki Udaan,
Bharte Bhi Meine Dekha Hain,
Aur Udaan Ke Baad,
Dhamm Se Girta Bhi,
Dekha Hain Meine,
Par Anmol Baat Yeh Hain,
Usi ‘Kuchh’ Ko Phir Se,
Nirbhik Aur Safal,
Udaan Bharte Bhi Dekha Hain Meine…

Baat Sirf Udaan Tak Simit Nahi Hain,
Baat Toh Udaan Ke Baad Uss,
Badle Huey Paridrishya Ki Hain,
Aisa Paridrishya Jahan,
Khatta Meetha Kadwa Aur Namkeen,
Gyani Agyani Paapi Aur Peer,
Ek Aisa Jevant Udhaaran Ban,
Uss Parikalpana Ko Saadrishya Kar,
Ek Aisi Mithaas Ghol De Jeevan Mein,
Jisko Paake Tript Ho Jaye,
Har Manav Ka Jeevan Amrit…
Har Manav Ka Jeevan Amrit…

Surya Prakash Arya

sparya_in@yahoo.com

(This Hindi Poem is dedicated to topic of ‘materialism’, in which we all into unknowingly or knowingly at some point in time. Human desire is absolute and ‘rat-race’ in present time is result of this. Therefore, getting inner bliss is more important and that is something will make life more wholesome).

No comments:

Post a Comment