Monday, February 18, 2013

Baal Hat



Chota Sa Nanha Munna,
Abh ‘Baal Hat’ Karne Laga Hain,
Maa Aur Baba Ko,
Apna Hone Ka Ehsaas,
Karane Laga Hain…

Har Din Kuch Nayi Si,
Shararat Karke,
Abh Khub Chaukane Laga Hain,
Aur Baat Baat Mein,
Khilkhila Kar,
Dil Ko Behlane Laga Hain…

‘Baal Hat’ Ka Namuna,
Bhi Kya Khub Hain,
Rone Ka Bahana Kar,
Ghumna Bhi Khub Hain,
Aur Bus Maa Baap Ko,
Tehlana Bhi Khub Hain…

Kar Krandan Se Jab,
Kaan Ghanghanate Hain,
Na Jane Kaise Yeh Samaj Kar,
Khud Hi Chupchap Ho Jaate Hain,
Aur Chehre Ke Shant Bhav Dekh Kar,
Phir ‘Baal Hat’ Par Uttar Aate Hain…

Yeh Sabh Baatein,
Mann Moh Leti Hain,
Godh Mein Utta,
Ek Chumbhan Lal Ko De,
Uski Khilkhilahat Mein Sabh,
Kuchh Bhula Dete Hain…

Balak Abhi Bahut Chota Hain,
Maa Baap Par Haq Uska Hain,
Ta Ta Ka Ka Kar Kar Ke Woh,
Humko Vash Mein Kar Leta Hain,
Aur Phir Vash Mein Karke Bhaiya,
‘Baal Hat’ Woh Phir Karta Hain…
‘Baal Hat’ Woh Phir Karta Hain…

Surya Prakash Arya

Sparya_in@yahoo.com

(This Hindi Peom is throwing a further light on daily activity of ‘Krish’ as we are watching him growing every day and noticing his ‘Baal Hat’, which is a new experience for us also).

No comments:

Post a Comment