Monday, February 18, 2013

Mahangai



Sensex Uchal Raha Tha,
CPI WPI Bhi Apni,
Chaal Chal Raha Tha,
Aur Mein Adami Bhi,
Bada Mayus Sa,
Inn Chaalon Mein,
Apni Takdheer Likh Raha Tha…

Market Ka Jo Uchaal Aaya,
Sabh Ko Jane Kya Behkaya,
Share Ke Uchale Bhaavo Mein,
Tujh Ko Mujhko Aisa Behlaya,
Par Jab Yeh Samaj Aaya,
Toh Khate Ko Kangaal Paya,
Phir Kya Tha?
Aate Daal Ka Bhaav Samaj Mujhe Aaya…

Sona Aise Pragati Kar Raha Hain,
Jaise Cheen Seena Taan Ke,
Padosiyon Ko Chintit Kar Raha Hain,
Abh Har Din Soch Raha Hun,
Kaise 23 Ko 16 Carat Ka Kar,
Rusht Biwi Ko,
9 Lakka Har Pahnau…

Bachhon Ki Har Din Kit Kit Se,
Abh Tang Main Hone Laga Hun,
Nike Addidas Aur Rolex Ke,
Pher Mein Phaans Ne Laga Hun,
Kya Karaun Bhai Mein,
Mahangai Se Mein Bahut Dharne Laga Hun…

Chai Mein Dudh Abh Gayab Kar,
Biwi Ne Mujh Ko Kya Khoob Behlaya,
Sawale Salone Dhamkte Chehre Ko,
Nimbu Ki Chai Sa Asar Batlaya,
Meine Bhi Haste Haste,
Chai Gatakte Gatakte,
Chupke Se Malai Sang Ban Toast Khaya,
Phir To Biwi Ke Gusse Ke Sailab Mein,
Meine Na Jane Kaju Kishmish Sabh Kuchh Gavaya…

TV News Mein Inflation Ka,
Graph Mein Har Roz Dekhne Laga Hun,
Aur Dekh Dekh Ke Apne BP Ko,
Biwi Se Roz Napwaane Laga Hun,
Jise Dekh Kar Biwi Kehti Hain,
Arrey Jab Jaldi Hi Jaane Ka Plan Hain,
Toh Bank Mein Bhare Khate Ka,
Kya Kaam Hain,
Jaldi Se Usko Mere Naam Kara Do,
Phir Na Rahega Tumhara Khata,
Bus Sabh Rahega Har Din Kuchh Jata,
Phir Na Hogi Tumko Inflation Ki Tension,
Aur Na Hi Badega BP Tumhara,
Sunkar Mangaai Ki Mention…

Iss Behad Hi Behudi Bare,
Exception Ko Maan Raha Hun Mein,
Ek Bahut Hi Bada Suggestion,
Aur Nak Muhh Sikod Ke,
Palang Pe Pada Hun,
Befikri Ke Saath,
BP Ko Bhula,
2 Peg Ko Chaddha,
Mahangai Ko Aate Ke Kanaster Mein Rakh,
Biwi Bacchon Ke Sang Mast,
Dard Ko Chuppa Bhula,
Jee Raha Hun, Bus Jee Raha Hun…

Surya Prakash Arya
Sparya_in@yahoo.com

(This Hindi Peom is actually telling about some bitter sweet experiences of Mahangai on our daily life and how we are dealing with it on daily course of activities).

No comments:

Post a Comment