Monday, February 18, 2013

Mein Toh Meerut Ka Jat Hun…



Na Taimur Hamein Hain Rokh Paya,
Na Angrej Hamein Hain Todh Paya,
Mein Toh Meerut Ka Jat Hun,
Iss Desh Ka Sachh Haath Hun…

Attahara Sau Sattavan Ki,
Jang Ka Mein Pratibimb Hun,
Nara Diya Tha ‘Dilli Chalo’ Ka,
Bharat Ka Mein Bhi Saput Hun…

Kali Paltan Ne Jab Asis Di,
Tabh Goro Ka Kya Maat Di,
Tabh Kaun Hamein Tha Rokh Paya,
Azadi Ka Kya Alakh Jagaya…

Yahan Ki Sardi Aur Garmi Bhi,
Yahan Ki Baarish Aur Basant Bhi,
Sabhkuchh Aise Lagte Se Hain,
Jaise Mere Koi Apne Se Hain…

Yahan Lahalahate Khet Bhi Hain,
Aur Yahan Pe Udyog Bhi Hain,
Dilli Bhi Yahan Se Dur Nahi,
Meerut Ka Koi Mol Nahi…

Shiksha Ka Yeh Ek Kendra Hain,
Khelo Ke Liye Yeh Bemail Hain,
Itihaas Yahan Ka Bada Niraala,
Mandodari Ne Ravaan Ko Pa Dala…

Mein Toh Meerut Ka Jat Hun,
Iss Desh Ka Sachh Haath Hun…

Surya Prakash Arya

sparya_in@yahoo.com

(This Hindi Poem is dedicated to Historical City of Meerut, which is famous from Ramayaan Yuga to Pre-independence Period to Present time).

No comments:

Post a Comment