Wednesday, September 21, 2011

Vichitra Chitra

Vichitra Sa Ye Chitra Hain…
Ye Kaun Sa Charitra Hain…
Kahani Ki Kitaab Main…
Anokha Sa Prateek Hain…

Chul Bula Sa, Bul Bula Sa,
Pill Pilla Sa, Mil Milla Sa,
Charitra Yeh Vichitra Hain,
Phir Bhi Yeh Kareeb Hain,

Kahani Ki Kitaab Main…
Anokha Sa Prateek Hain…
Vichitra Sa Ye Chitra Hain…

Gol Sa, Matol Sa,
Anmol Sa, Vibhor Sa,
Vishal Sa, Mahakaal Sa,
Pratibimbh Ye Bhagwan Sa,

Kahani Ki Kitaab Main…
Anokha Sa Prateek Hain…
Vichitra Sa Ye Chitra Hain…

Shararati, Yeh Maruti,
Yeh Zid Ka Hain, Maharathi,
Ye Bheem Ka Hi, Ek Roop,
Yeh Dev Ka Hi, Ek Duut,

Kahani Ki Kitaab Main…
Anokha Sa Prateek Hain…
Vichitra Sa Ye Chitra Hain…

Ghungraale Hain Iske Baal,
Nayan Naksh Bhi Kya Kamaal,
Jab Ye Hota Malamaal,
Kar Deta Hain Jeevan Khushhaal,

Kahani Ki Kitaab Main…
Anokha Sa Prateek Hain…
Vichitra Sa Ye Chitra Hain…

Kitni Madhur Hain Iski Vaani,
Jise Sunna Chahte Har Prani,
Ghuma Phira Ke Ye Sunta,
Jag Mein Kitna Sukh Phailata,

Kahani Ki Kitaab Main…
Anokha Sa Prateek Hain…
Vichitra Sa Ye Chitra Hain…

Sawala Sa Rang Iska,
Hain Bawala Sa, Mashtishk Iska,
Natkhat Bhi Ye, Shaitan Bhi,
Bholu Hain Ye Phir Bhi Sabhka,

Kahani Ki Kitaab Main…
Anokha Sa Prateek Hain…
Vichitra Sa Ye Chitra Hain…

Chaal Bhi Hain Kya Kamaal,
Haathi Bhi Ho Jaye Lal,
Kukkur Bhage Aur Shor Machaye,
Phir Dhupak Kar Wapas Na Aaye,

Kahani Ki Kitaab Main…
Anokha Sa Prateek Hain…
Vichitra Sa Ye Chitra Hain…

Surya Prakash Arya
Contact me: sparya_in@yahoo.com/91-94120-53135
Dehra Dun, Uttarakhand, India
(Views are personal)

Description of the Poem:

This Hindi poem is describing an interesting character of a comic book, it may be matching with your imagination or may vary but which we all have read as different characters over a period of time from childhood days to adulthood. Hope you would like it and drop some words of appreciation.

Check These Out:

www.globomela.blogspot.com
www.globoscreenplay.blogspot.com
www.globofaces.blogspot.com
www.globotips.blogspot.com
www.globogovt.blogspot.com
www.globofinance.blogspot.com
www.globotour.blogspot.com

No comments:

Post a Comment