Wednesday, September 7, 2011

MONSOON

Badalon Ka Gadgadhana,
Meghon Ka Yun Udhh Ke Aana,
Kali Ghatano Ka Vristit Ho Jana,
Monsoon Ka Aagmann Ho Jana……

Tapti Dharti Jo Sukh Rahi Thi,
Suraj Ki Tapish Ko Jhel Rahi Thi,
Trahimam Trahimam Tha Sabh Garam Dhoop Mein,
Sukh Gaya Tha Gala Dhoop Mein,

Tapti Dharti Ka Sanket Dena,
Jalte Suraj Ko Kya Kya Keh Jana,
Barsore Abhh Toh Tum Kuchh Megha,
Mere Tann Ko Kyon Na Tu Bhighore,

Jeevan Ki Anmol Kaya,
Jal Hi Toh Mein Iski Maya,
Bin Paani Sabh Kuchh Sukh Raha Hain,
Jaise Mera Mujh Se Ruth Raha Hain,

Tu Nahi Hain Re Monsoon,
Nirmum Itna Bhi Abhi Tu,
Dekh Liya Hain Meine Megho Ko,
Ghumad Ke Aata Akash Mein Kuchh Durr,

Monsoon Mein Bijliyon Ka,
Badalon Mein Yun Utpann Hona,
Shor Machana, Athakheliya Karna,
Phir Dheere Se Yun Ghum Ho Jana,

Monsoon Mein Bheeg Jana,
Apne Chitt Ko, Kuchh Yun Behlana,
Bheeg Lo Bhai Bheeg Lo,
Yeh Sawaan Toh Phir, Naye Saal Hi Aana,

Monsoon Mein Jahan Bhi Jati Hain Nazaar,
Hari Ghaans, Hari Patti, Aur Hare Upvan,
Dikh Jaate Hain Har Taraf,
Aur Karte Hain Mann Ko Magan,

Monsoon Mein Bharat Varsh Mein,
Hoti Hain Ghanghor Baarish,
Naach Te Hain Mor Van Mein,
Aur Manushya Hota Hain Khush,

Badalon Ka Gadgadhana,
Meghon Ka Yun Udhh Ke Aana,
Kali Ghatano Ka Vristit Ho Jana,
Monsoon Ka Aagmann Ho Jana……

Surya Prakash Arya

91-94120-53135/sparya_in@yahoo.com
Dehra Dun, Uttarakhand, India
(Views are personal)

No comments:

Post a Comment