Thursday, March 20, 2014

Srankhala Maa – Sunapan


Vichitra Si Sthithi Hain, Vichitra Si Sthithi Hain,
Paristhi Badi Bhaari Hain, Paristhi Badi Bhaari Hain,
Ekant Mein Sunapan Kachota Hain,
Bayawah Si Nirdayi Manoshithi Hain…

Shor Sharabe Main Sunapan Lagta Hain,
Khuli Ankhon Mein Sapna Dikhta Hain,
Anshon Ka Sailab Andar Hi Simat Jata Hain,
Kinchav Mann Mastiksha Main Ho Utahta Hain…

Kabhi Latga Hain Karhane Ki Awaaz,
Aa Rahi Hain Kisi Kone Se Khas,
Palat Ke Dekhe Ne Par Bus,
Dil Pasij Sa Yuhi Bus Jata Hain…

Subah Utah Kar Aapka Bistar Par Na Dikhna,
Ek Ajeeb Si Tees De Jata Hain,
Puchh Ta Hu Askar Main Khud Se,
Kyon Aap Ka Yeh Aachanak Chale Jana…

Baatein Kam Thi, Tasaali Bahut Thi,
Aap Ki Maujudagi Main, Nishchintata Badi Thi,
Badon Ka Ghar Par Rehna Vardaan Hain,
Unke Bina Sabh Kuchh Biyabaan Hain…

Shyam Ko Aksar Aap Ke Bahane,
Kuchh Chai Pakode Main Kha Leta Tha,
Thode Pakode Aap Ko Khila Kar,
Santusht Kuchh Main Ho Liya Karta Tha…

Kabhi Kabhi Aap Ka Khane Ko Chodd Dena,
Vichalit Sa Mujh Ko Kar Deta Tha,
Aksar Didi Ko Aap Ki Main Murakh,
Sikayat Galti Se Kar Deta Tha…

Par Uss Galti Ka Kuchh Fhayada Jarur Hota Tha,
Aap Bemann Hi Sahi Thoda Kha Lete The,
Aur Gusse Main Mujh Se Keh Dete The,
Kya Nahi Pasand Khana Khana Unhe Pasand?

Iss Teep Tipadhiyon Ko Main Bhul Jata,
Iss Teep Tipadhiyon Ko Woh Bhi Aksar Bhul Jate,
Todhi Sehat Sambhal Ne Par Wo,
Halka Sa Thoda Muskurate…


Janta Hun Chinta Bahut Karte The Aap,
Meri, Didi Aur Sona Ki Aap,
Kaise Rehenge Mere Bachhe,
Mere Iss Duniya Se Jaane Ke Baad…

Par Aap Chintit Mat Hona,
Koshish Karenge Hum Sabh Saath,
Naam Aapka Unchha Rakhene Ko,
Naam Aapka Unchha Rakhene Ko,
Adhura Kaam Aapka Pura Karne Ko…
Adhura Kaam Aapka Pura Karne Ko…
Rasta Thoda Lamba Zurur Hain…
Rasta Thoda Lamba Zurur Hain…
Rukavaton Ka Pehra Zurur Hain…
Rukavaton Ka Pehra Zurur Hain…
Par Aap Zara Nishchint Rahna…
Par Aap Zara Nishchint Rahna…
Aur Thoda Apna Aashirwad Dena…
Aur Thoda Apna Aashirwad Dena…
Phir Dekhna Bachhon Ko Apne…
Phir Dekhna Bachhon Ko Apne…
Unmukt Aakash Mein Udhte Dekhna…
Unmukt Aakash Mein Udhte Dekhna…

Vichitra Si Sthithi Hain, Vichitra Si Sthithi Hain,
Paristhi Badi Bhaari Hain, Paristhi Badi Bhaari Hain,
Ekant Mein Sunapan Kachota Hain,
Bayawah Si Nirdayi Manoshithi Hain…


By-Surya Prakash Arya

(This Hindi Poem is a heartfelt tribute to the sudden death of my father Shri Ganga Prasad Arya on 7.30 am on 12.01.2014. This poem is third part of ‘Srankhala Maa – Sunapan’. Me and my family member are mourning the death of my beloved father, whose death has created an emptiness in our life and life is looking very uphill as of now. We pray from Almighty “Maa Bhagwati” and “Golu Devta” to give peace to the departed soul of my father and he shall have a wonderful, peaceful life in his next inning. We all love you and remember you, wherever you are).

No comments:

Post a Comment