Wednesday, August 22, 2012

Baarish


Har Taraf Baarish Ho Rahi Hain,
Dekho Kaise Sabh Ko Beegho Rahi Hain,
Tip Tip Si Kaisi Aawaz Ho Rahi Hain,
Mann Ko Kaise Jhakjor Rahi Hain…..

Kaale Ghane Yeh Megh Aaye,
Dil Ko Mere Yeh Kya Bahkaye,
Umadh Ghumadh Ke Yeh Garajte,
Aur Karte Shor Kartal Dvani Se…..

Sannate Ko Chir Rahi Thi,
Aakash Mein Bijli Kondh Rahi Thi,
Badal Bhi Jab Barasne Ko Tha,
Pahaad Ka Seena Phatne Ko Tha…..

Naale Gadhyaare Sabh Ufaan Pe They,
Pedh Aur Mitti Ko Sang Dhakel Rahe They,
Har Taraf Bus Shor Bada Tha,
Jaise Prithvi Ka Taan Dol Raha Tha…...

Cheekh Pukar Har Jagah Vyapt Thi,
Mano Manushy Ki Yeh Samapthi Thi,
Dah Gaye They Har Maakan Nadi Mein,
Aur Tham Gaye They Kadam Sabhi Ke…..

Lag Raha Tha Abh Anth Yehi Hain,
Jeevan Maran Bhi Yahi Kahin Hain,
Abh Jab Apne Hi Sabh Chutt Gaye Hain,
Toh Mere Prann Kyon Zami Par Rahe Gaye Hain…...

Par Phir Din Badala Aur Baarish Thi Thami,
Har Taraf Thi Bus Lasho Ki Jhadhi,
Jise Dekh Mera Dil Khub Roya,
Bus Nahi Tha Mera Kya Kya Meine Khoya…..

Palthi Mar Zameen Par Mein Sann Sa Hoya,
Samaj Mein Nahi Aa Raha Tha,
Ki Meine Kya Paya Aur Kya Khoya,
Honslaa To Jaise Bus Chaknachur Hoya…..

Par Mein Kya Karta Aakhir Ek Manshuya Tha,
Dhandhas Bandhke Mein Khud Khada Hoya,
Jo Mujh Se Manav Jati Ke Liye Ho Sakta Tha,
Woh Meine Sabh Jee Thod Ke Boya…..

Arrey Yahi Toh Baat Hain Manav Ki,
Jab Lage Nirasha Har Kaam Ki,
Tabh Tu Yun Sunn Sa Na Baith,
Thoda To Tu Kuchh Karke Dekh…..

Baarish Ka Kya Hain Yeh Tham Jayegi,
Badal Ka Kya Hain Yeh Chatt Jayega,
Toofan Ka Kya Hain Yeh Rukh Jayega,
Bus Tujhko Badte Jana Hain…..
Bus Tujhko Badte Jana Hain…..

Surya Prakash Arya
sparya_in@yahoo.com
(This poem is dedicated to all those people who have lost their near and dear ones and belongings in Uttarkashi Cloudburst, in Uttarakhand, India in August, 2012)

No comments:

Post a Comment