Wednesday, August 22, 2012

Asha Aur Niraasha


Asha Aur Niraasha,
Jeevan Ke Do Pehlu Hain,
Kab Kya Kis Mein Badal Jaye,
Yeh Bhi Toh Ek Pehlu Hain….

Jeevan Mein Asha Ka Hona,
Ek Bada Hi Vardaan Hain,
Har Cheeze Mein Sukh Bhogna,
Yeh Bhi Kya Koi Baat Hain….

Taka Jankhi Jab Kare Niraasha,
Toh Samajna Kuchh Baat Kahin Hain,
Samaj Bhuj Kar Himmat Badana,
Jeevan Ka Dustur Yahi Hain….

Har Taraf Asha Ka Hona,
Yeh Koi Swarg Nahi Hain,
Har Baat Pe Yun Italana,
Yeh Bhi Koi Jaruri Nahi Hain….

Arey Mann Tu Kyon Hain Niraash,
Kyon Mangta Hain Tu Hisaab,
Jodh Todh Mein Kuchh Nahi Hain Baat,
Toh Phir Tu Hata Dukh Ka Libas….

Peeche Mudh Ke Dekh Zara Tu,
Kitni Baar Hain Toofan Aaya,
Par Tu Bhi Bada Mannmauji Sa Ban,
Har Kisi Ko Kya Sabak Sikhaya….

Asha Aur Niraasha Toh,
Aate Rahenge Zindagi Mein,
Path Par Tu Na Dishaheen Sa,
Apna Yun Yeh Waqt Gawa….
Apna Yun Yeh Waqt Gawa….

Asha Niraasha,
Jeevan Ke Do Pehlu Hain,
Kab Kya Kis Mein Badal Jaye,
Yeh Bhi Toh Ek Pehlu Hain….

Surya Prakash Arya
Sparya_in@yahoo.com

No comments:

Post a Comment