Thursday, March 25, 2010

Manzil Toh Mil Hi Jayegi

Chalte chalna, chalte chalna….
Manzil toh mil hi jayegi….

Ruk ruk kar, dekhna samajhna,
Dekh ke sochna, aur samajh ke muskurana,
Aur yu hi phir aage badh jana,
Chalke rukna, ruk ke chalna,
Chalte chalna, chalte chalna….
Manzil toh mil hi jayegi….

Har cheezj mein kuchh baat hain,
Har cheezj kuchh khaas hain,
Dekhna na dekhna, samajhna na samajhna,
Yeh toh mere ander ka janjaal hain,
Chalte chalna, chalte chalna….
Manzil toh mil hi jayegi….

Sochta hun bahut, karta hun kam,
Ya karta hun bahut, aur sochta hun kam,
Aur sochne ya karne ke chakkar mein,
Iss bawanwar mein pansh jata hun,
Chalte chalna, chalte chalna….
Manzil toh mil hi jayegi….

Agar karm se santushthi milti hain,
Yadi neend ke sapne yaad nahi rahte,
Aur logon ke beech mein sukh milta hain,
Toh yehi manzil ki pehchan hain,

Toh chalte chalna, chalte chalna….
Manzil toh mil hi jayegi….

Check This Out: www.globomela.blogspot.com
Contact me: sparya_in@yahoo.com

No comments:

Post a Comment