Monday, March 29, 2010

Aane Wala Kal….

Swarnim hoga “Aane Wala Kal”
Umeedon se bhara, Jo hoga kharaa,
Sapno sa sach, Apno ka sub,

Phhaldai hoga “Aane Wala Kal”
Khusiyon se bhara, Sadiyon se vichara,
Tumhara yeh apna, Mera yeh apna,

Pyara hoga “Aane Wala Kal”
Jahan hum honge, Aur hamare honge,
Milange, Jhumenge, Aur Gayenge,

Masoon hoga “Aane Wala Kal”
Jahan bacche hasege, Kilkariya gunjege,
Bacche honge, Aur hongi unki masumiyat,

Rangeen hoga “Aane Wala Kal”
Phool honge, Aur hongi unki kyariyan,
Genda hoga, Chameli hogi, Aur hoga Gulab,

Bhaktimya hoga “Aane Wala Kal”
Ishwar hoga, Aur hoga uska upasak,
Ram hoga, Rahim hoga, Yeshu hoga, Aur hoga Nanak

Kuchh aisa hoga “Aane Wala Kal”…

Check This Out: www.globomela.blogspot.com
Contact me: sparya_in@yahoo.com

No comments:

Post a Comment