Sunday, January 31, 2016

Ek Chota Safar



Safar Tha Zara Chota,
Jise Pura Karne Main Nikla Thoda,
Kya Tha, Bus Apni Gadhi Uthayi,
Biwi Aur Bachhe Ke Sang,
Safar Ki Raha Thami…

Bus Kyonki Thoda Hi Dur, Jana Tha,
Isliye Plan Kya Banana Tha,
Raaste Pe Pakad Apni Thi,
Gadi Bhi Apni Thi,
Bus Sadak Par Chalti Dusri, Gadhi Apni Nahi Thi…

Kehte Hain Jab Bhagya Kharab, Hota Hain,
Toh Galat Samay Par Aap, Galat Jagah Hote Hain,
Mera Bhi Kuchh Yahi Haal Tha,
Uss Safar Main, Mein Galat Haath Tha,
Kyonki Chote Safar Aur Chota Kar Raha Tha…

Uss Short-Cut Main Zindagi Short Hote Hote Rah Gayi,
Biwi Aur Bachahe Ke Sang Saanse Meri Aatak Gayi,
Kyonki Dusri Gadhi Belagam Si Speed Main,
Meri Gadhi Se Bus Takrane Se Matra Ek Second Pehle,
Kuchh Zindagi Humein Aur Thodi Khud Le Gayi…

Kyonki Usne Thoda Cut Mara Aur Maine Break,
Aur Zindagi Phisalte Phisalte Uss Din Rah Gayi,
Maine Kiya Prabhu Ka Uss Din,
Mann Hi Mann Dhayawad,
Aur Kaha Teri Leela Hain Aparampaar…

Safar Wapsi Kar Thoda Main Chup Leta,
Apni Short Trip Aur Short-Cut Ke Baare Main Socha,
Kaun Galat Tha, Woh, Ya Main, Ya Samay,
Aur Jawab Andar Se Aaya, “Main”,
Kyonki Short-Cut Toh Meine Liya Tha…

Mujhe Kya Pata Agla Kin Haalaton Main Tha,
Sharab Main Dooba, Ya Chinta Ka Mara Tha,
Zindagi Bhi Toh Yahi Hain, Thoda Imtihaan Leti Hain,
Short-Cut Se Kuchh Nahi Milta, Ye Thoda Time Leti Hain,
Aur Ussi Time Main Tumhe Naya Aayam Deti Hain…

Zindagi Ko Jeena Bhi Ek Tap Hain, Sadhna Hain,
Har Baat Se Kuchh Sikha Hi Toh,
Ek Naye Adhayay Ka Judhna Hain,
Yehi Teri Kismat, Yehi Teri Taqdir Bana Rahe Hain,
Aane Wale Tere Safar Ka Ek Rasta Bana Rahe Hain…

Honsla Toh Tu Rakh Thoda Sa,
Dekhna Teri Zindagi Ki Kitaab Ko Pankh Lagne Waale Hain,
Kudrat Jo Tujhe Har Halaton Main Bacha Rahi Hain,
Uss Hansi Khwaab Ko Dekhe Tak,
Tu Safar Par Bus Chalta Chal…
Tu Safar Par Bus Chalta Chal…

By – Surya Prakash Arya “Uttarakhandi”

(This Hindi Poem of mine is about a short trip of mine from my house to a neighbouring place. Through this Hindi Poem of mine, I am sharing an incident which happened to me. It taught me many perspective of life, but in this Hindi Poem, I am sharing one of that perspective.) 

Friday, December 25, 2015

Kya Hua Hindostan


Kya Hua Hindostan, Ye Tujhe Kya Hua?
Kyon Tu Apni Syahi Se, Iss Kadar Badnaam Hua,
Teri Ye Ujul Fujul Harkatein, Teri Ye Napaak Koshishan,
Sirf Aur Sirf Tujhe, Ruswa Kar Rahi Hain,
Aur Tere Saaf Anchal Ko, Badnuma Kar Rahi Hain…


Kyon Bhul Raha Hain, Ki Tu Toh Vishal Hridayi Hain,
Aur Tere Bujang Bajuao Main Hi, Ekta Khadi Hain,
Kya Kya Tune Nahi Dekha Hain, Aur Saha Hain,
Par Aaj Kyon Tu Adhir Sa, Hairan Khada Hain,
Na Hone De Tu Durr, Iss Preme Adab Ko,
Tere Vishwas Pe Hi To, Loktantra Yahan Khada Hain…

Vividhta, Rang, Dharm, Karm, Bhasha, Sanskriti,
Yeh Sabh Tere Hi Rang Hain, Jise Dekh Log Dang Hain,
Yeh Sabh Logon Ki Soch, Se Pare Hain Hindostan,
Kya Nahin Dikh Raha Hain, Logon Ka Palayan,
Yuddh Mein Jirn Shirn Hote, Naye Purane Rashtron Ka Patan,
Main Nahin Chahta, Har Chotti Baat Par Shor Sharaba…

Matr Chunaav Jitne Ke Liye, Na Banto Samajh Ko,
Tum Kya Sochte Ho, Kya Nahin Dikh Raha Hain Mujhe,
Dhruvikaran Ka Khel, Aur Shanti Rakhne Ka Bhed,
Lekin Jo Mukh Se Bol Rahe Ho, Ussey Mann Se Bhi Karo,
Aur Yeh Main Tumhi Se Nahin, Sabh Se Keh Raha Hun,
Dekhna, Khel Khelte Khelte Kahin Derr Na Ho Jaye!
Dekhna, Khel Khelte Khelte Kahin Derr Na Ho Jaye!

Kya Hua Hindostan, Ye Tujhe Kya Hua?
Kyon Tu Apni Syahi Se, Iss Kadar Badnaam Hua,
Teri Ye Ujul Fujul Harkatein, Teri Ye Napaak Koshishan,
Sirf Aur Sirf Tujhe, Ruswa Kar Rahi Hain,
Aur Tere Saaf Anchal Ko, Badnuma Kar Rahi Hain…

By-Surya Prakash Arya

(This Hindi Poem describes the inner thought roams around in my mind about the recent state of affair in Indian Political System. This Hindi Poem speaks a lot about things happening in India these days. It is just a thought, but honestly I am looking forward to peace and brotherhood amongst people of this great democracy).

Monday, November 30, 2015

Pati Patni




Pyara Hain Rishta, Ye Mera Tumhara,
Pati Patni Ka Rishta, Ye Mera Tumhara…

Saat Janmo Ki Khake Kasam,
Main Bana Hun Tera, Aur Tu Bani Meri,
Na Tute Ye Rishta, Ye Janmo Ka Rishta,
Pyara Hain Rishta, Ye Mera Tumhara,
Pati Patni Ka Rishta, Ye Mera Tumhara…

Pyar To Main, Sirf Karta Hu Tum Se,
Jo Na Ho Aitbhar Toh, Tum Puchh Lo Sabh Se,
Sach Kahunga, Main Keval Sach Kahunga,
Pyara Hain Rishta, Ye Mera Tumhara,
Pati Patni Ka Rishta, Ye Mera Tumhara…

Parakhna Jo Chaho, Jab Bhi Parakh Lo,
Band Dil Main Kar Kar, Humne Bus Main Karlo,
Ankhon Par Yakin Mat Kar, Thodi Baat To Sun Lo, 
Pyara Hain Rishta, Ye Mera Tumhara,
Pati Patni Ka Rishta, Ye Mera Tumhara…

Pyara Hain Rishta, Ye Mera Tumhara,
Pati Patni Ka Rishta, Ye Mera Tumhara…

By-Surya Prakash Arya “Surya Uttarakhandi”

(This Hindi Poem is describing about the relationship in a husband and wife. In this Hindi Poem, I am emphasing the important of trust and patience in onces life for maintaining the real meaning of this pious relation).

Sunday, October 18, 2015

Gita Ka Updesh




Ek Vakya Se Nikla Vakayya,
Jiski Na Thi Saral Vyakhaya,
Jo Samajh Gaya Uss Vakya Ki, Vyakhaya,
Toh Samajh Lo, Aa Gayi Uske Jeevan Main Aradhya…

Jab Vakya Hain, To Uske Arth Bhi Honge,
Ek Nahi, Anek Honge,
Nirbhar Yeh Tum Par Karta,
Kya Dhundte Tum Arth Uska…

Kai Bhar Tumhari Manoshithi Par,
Toh Kai Baar Tumhari Upssthithi Par,
Aur Arth Baithete Bilkul Sateek,
Chahe Sthithi, Kyon Bhi Na Ho Vipreet…

Par Samajh Re, O Bandhu,
Saafh Aur Spastha Ye Sandesh,
Ki Tu Karm Pe De, Thoda Dhyan,
Aur Ho Jeyega Tera, Beda Ampram Paar…

Phir Bhi Yadi Tu, Prashn Karna Chahe,
Toh Kar Na, Kar Apne Se, Kaun Rokta Hain?
Uttar Milega Zurur, Ki Yeh Karm Hain Ya Akarm,
Aur Phir, Faisle Ki Seedhni Par Chadna Hi, Hoga Tera Karm…

Duniya Ki Na Nukur, Toh Lagi Hi Rahegi Hamesha,
Vifalta Ya Safalta Ki Soch, Bhi Swatah Hi Ubhrengi Ander Teri,
Ho Sakta Hain, Tareef Ke Bhanwar Main Tu Phans Jaye,
Ya Ho Sakta Hain, Burai Ke Dher Main Tu Dab Jaye,
Par Yaad Rakhna, Baat Suni, Nisuni Na Ho Jaye…
Par Yaad Rakhna, Baat Suni, Nisuni Na Ho Jaye…

Yeh Gita Ka Ek Updesh Hain!!!

By – Surya Prakash Arya

(This Hindi Poem of mine is telling about a message from Bhagwat Gita. This Hindi Poem tells us that you should go with your conscience decision. Because when you speak to your conscience, it would always give you a right decision. And it is upto you to listen to it and act upon it). 

Wednesday, September 30, 2015

Zindagi Ko Khulke Jio




Kuchh Bhav Tere Dekh Kar,
Main Tere Pass Aaya,
Jo Puchha Tujhse Kaaran?
Main Anayas Hi Muskaya…

Teri Pareshani Par Nahi,
Teri Soch Ne Mujhe Hasaya,
Kyonki Bhavishya Ki Chinta Ne,
Tera Chehra Murjhaya…

Tu Vilaap Kar Raha Tha,
Tere Bachhe Tujh Se Dur,
Videsh Main Basne Ja Rahe They,
Aur Tujhe Tanha Chodde, Ja Rahe They…

Tujhe Chinta Thi Iss Baat Ki,
Yadi Tu Akela Bimaar Pada,
Toh Kaun Dhyan Rakhega Tera?
Iss Baat Ka Malal Tha…

Arrey Tu Toh Duniya Main,
Akela Hi Aaya Tha, Bhul Gaya?
Aur Akele Hi Tere Mata Pita Gaye,
Kya Unhe Bhi Tu Bhul Gaya…

Kyon Sata Rahi Hain Chinta?
Zindagi Ko Khulke Jio,
Jaisa Tu Chahega, Vaisa Tu Payega,
Mann Main Yehi Vishwas Pal,
Aur Zindagin Main Tu Reh Khushhaal…
Aur Zindagin Main Tu Reh Khushhaal…

By – Surya Prakash Arya “Uttarakhandi”

(This Hindi Poem of mine is all about, how we take life. If we have positive frame of mind with us, life seems easy and if we fed it up with negative thoughts, then life becomes hell. This Hindi Poem is telling us to tread in the right path).

Saturday, September 26, 2015

Aao Mil Banth Kar Khayein




Jitna Zyada Ho Sake, Hum Kamayein,
Aur Bacha Hua Thoda, Tumhe Paunchey…

Ji Haan Baat Kar Raha Hun,
Bhrashtachar Ki, Aur Ek Hi Khandan Ke Na Hote Huey Bhi,
Katarbadhh Huey Purey Santh-Ganth Ki…

Manzar Dekha Hain Kabhi? Meat Ki Dukhan Ke Aagey?
Kyon Lete Padhe Rehte Hain Kutte, Chup-Chap Lash Se,
Santvana Rehti Hain, Shyam Ko Milenge Kuchh Chichade…

Ji Haan, Chichadhon Ka Hi Toh Khel Hain,
Kyonki, Dukaan Ka Maalik, Bada Hi Tez Hain,
Woh Janta Hain, Kaise Rakhna Hain Kutto Ko Shant…

Theek Vaise Hi Bada Brashtachari Bhi,
Katar Main Khade Apne Hi Saathiyon Ko,
Jab Deta Hain Malai Ki Chauthayi, Toh Khamosh Ho Jati Hain Unki Ruayi…

Aao Mil Banth Kar Khayein,
Jitna Zyada Ho Sake, Hum Kamayein,
Aur Bacha Hua Thoda, Tumhe Paunchey…

By – Surya Prakash Arya “Uttarakhandi”

(This Hindi Poem is telling us about the corruption prevailing around us. An analogy is being created in this Hindi Poem, which I hope you would like. This is just an observation and nothing else).