Wednesday, August 26, 2015

Hum Karte Hain Swagat Aapka…




Harshit Hain, Garvit Hain,
Apne Haatho Ki Anjuri Main,
Katarbandh Hum, Pushp Liye,
Apke Satkar Main,
Apke Athiyya Main,
Hum Natmastak Hain,
Hum Prafullit Hain,
Hum Karte Hain Swagat Aapka,
Hum Karte Hain Swagat Aapka…

Aapka Prakash Punj Vyaktiva,
Aapka Atyant Madhurya Vichaar,
Aur Ooj Se Bharpur Aapki Vaani,
Aapki Divya Swaroop Soch,
Aapke Anukarniye Udhaaran,
Sabh Hain Prerna Ke Sroth,
Sabh Hain Vijay Ke Udhgosh,
Hum Karte Hain Swagat Aapka,
Hum Karte Hain Swagat Aapka…

Har Shabdh Ratnakar Samaan Vishal,
Har Bhav Bhangima Karati Ek Naya Ehsas,
Ankhon Main Kitne Hi Aseem Bhav Hain,
Prati Pal Hum Ko Karati Nayi Udaan,
Hum Ashcharyachkit Hain,
Hum Bhav Vibhor Hain,
Hum Shabdh Viheen Hain,
Hum Karte Hain Swagat Aapka,
Hum Karte Hain Swagat Aapka…


Harshit Hain, Garvit Hain,
Apne Haatho Ki Anjuri Main,
Katarbandh Hum, Pushp Liye,
Apke Satkar Main,
Apke Athiyya Main,
Hum Natmastak Hain,
Hum Prafullit Hain,
Hum Karte Hain Swagat Aapka,
Hum Karte Hain Swagat Aapka…

By – Surya Prakash Arya

(Through this Hindi Poem, I am expressing my feeling for welcoming a person, we all feel proud of. This Hindi Poem of Swagat is expressing the deeper sense of respect and love for the people, we want to welcome).

No comments:

Post a Comment