Thursday, February 27, 2014

Srankhala Maa – Shraddhanjali



Subah Subah Mobile Ke Ghanghanate He,
Vyakulta Mein Meine Phone Uttaya,
Number Jab Ghar Ka Dekha Toh,
Anayas He Main Bahut Gabraya…

Vichlit Si Ghabrayi Awaaz Mein,
Behen Ne Kuchh Aisa Kaha,
Sunte He Mann Ke Kone Mein,
Shunyapan Ka Ehsas Hua…

Hadbadahat Mein Khud Ko Sambhala,
Aur Behen Ko Bola Ghabra Mat,
Thoda Aur Bus Tu Date Rehna,
Kuchh Jo Ho Sake Jaldi Karna…

Baateon Mein He Dukh Jhalaka Tha,
Soch Ke Jiss Ko Hosh Udda Tha,
Samaj Jaise Jadh Ho Chuki Thi,
Dukhti Rag Jaise Kachot Rahi Thi…

Phir Buri Khabbar Pakki Huyi,
Jhakjhor Di Jisne Andar Tak Jaan,
Pathar Jaise Tutt Gira Tha,
Shamshan Ka Bus Rasta Dikha Tha...

Apno Ne Haath Bada, Diya Honsla,
Kar Diya Antim Kriya Ka Faisala,
Jaise Taise Uss Prasthan Ki,
Karni Padi Sabh Sari Vyavastha…

Pitaji Ki Antim Yatra Ke,
Intizaam Kuchh Jald Kare,
Beheno Jija Bhai Aur Mama,
Sabne Kuchh Sahiyog Kiye…

Bhav Bhini Vidai Ke Samay,
Anshu Aur Phoolon Apran Kar,
Pairo Ko Chukar Pitaji Ke,
Sabhi Ne Apni Shraddhanjali Di…
Sabhi Ne Apni Shraddhanjali Di…

By-Surya Prakash Arya
Sparya_in@yahoo.com

(This Hindi Poem is a heartfelt tribute to the sudden death of my father Shri Ganga Prasad Arya on 7.30 am on 12.01.2014. This poem is first part of ‘Srankhala Maa – Shraddhanjali’. Me and my family member are mourning the death of my beloved father, whose death has created an emptiness in our life and life is looking very uphill as of now. We pray from Almighty “Maa Bhagwati” and “Golu Devta” to give peace to the departed soul of my father and he shall have a wonderful, peaceful life in his next inning. We all love you and remember you, wherever you are).

1 comment:

  1. Papa I miss u alot
    Apki ye kami kabhi puri nahi ho sakti
    Bhagwan aap ki aatma ko sadgati de
    Hame dukh sehne ki shakti de
    Raja tune papa ko kabhi show he nahi
    Kiya ki tu unka itna khayal rakh ta hai
    Wo to bas waha se aane ke karan se
    Pareshan rahe
    Hum sabhi ki taraf se papa ko
    Shraddhanjali

    Papa ki aatma ko shanti or sadgati mile
    Dil ro raha hai per hath khali hai

    ReplyDelete